bijli si lapakti ho, taktay yeh samaa'n hum hon
palkon ki ridaa uthay, aur sirf wahaan hum hon
woh aankh uthaa dekhain, hum doob kay phir ubhrain
manzil ka nishaan gum ho , ik aisay jahaan hum hon
palkon say nazar tak ka , lamhon men saffar tay ho
sahil say samunder ko, pal bhar men rawaan hum hon
woh sub ko bhulaa daalain, bus zikr karain meraa
lab jab bhi khulain un kay, ay kaash bayaan hum hon
andaaz anokha hai , maghroor nazar un ki
taskheer unhain kar lain, woh baankay jawaan hum hon
azhar ji chalo khud ko chaahat say sajjatay hain
woh shaad rahain jis men, ik aisaa makaan hum hon
No comments:
Post a Comment