humen Khabar hAi hum Ehal e Dil Ka muhabbaton Men Yeh Haal ho ga
Bahaar Men Bhi Wo Habs ho ga Keh Saans Laina Muhaal ho ga

NaQoosh dhundla Gaye hAin Jis Kay, Khayaal Jis Ka dhuwaan dhuwaan hAi
woh Zard Patton Kay koray Kaghaz Pey Likhii koii Misaal ho ga

Jo Naaptey hain musafaton Ko Lateef Jazbon Kii Shiddaten hain
Kahin Saddii Sa'aton Kii Had Men Kahin Pey Lamha Bhi Saal ho ga

mujhey hai Syaad Sey woh Nisbat Keh mUjh Ko Manzoor hai Aseerii
Qafas Kii Aaghosh Sey Jo Nikla To Wus'aton Ka Wabaal ho ga

tumharey Lehjay Ki Talkhiyon Ko bhUlla Kay Eik Bar Mil To loon Mein
Magar Ho Itna Yaqeen mUjh Ko Bichar Kay tum Ko Malaal ho ga