Wednesday, 16 January 2013

In dinon shehar bhar k raaston men


In dinon shehar bhar k raston men
naachti hai bala ki veerani!
aks der aks dasti rehti hai
be'sada aainon ko hairani
saarey chehron k rang pheekay hain
saari ankhain ujaarr lagti hain
saarey din aahton ki ginti men
saari ratain pahaarr lagti hain
bujhti jaati hain yaad ki sham’ain

apni palkon pey aansuon k nageen
tootay hain to dil nahin chunta
jaisay shaakhon sey zard ru pattay
toot’tay hain . . koi nahin sunta
tu kahan hai, kahan nahin hai tu?
bhool ja . . yad kyun nahin aata ?

hum sey kaya poochna . mizaj-e-hayat?
hum to bus ik dareeda daaman men
bhar k khaakistar-e dyar-e wafa -!
ley k sadiyon ki baas phirtey hain
in dinon shehar bhar k raston men
hum akailay udaas phirtey hain

ab yeh sochain to aankh bhar aaye
in akailay ujaarr raston men
tu bhi shayed kahin nazar aaye!


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets