Woh mujh sey poochthi hey, mausamo'n key dhang kaisey hain
Mein kehta houn, tumharey perahan key rang jaisey hain
Woh kehthi hey, mera her pal tujhey milney ko ji chahey
Mein kehta hoon, terey deedar ko aankhein tarasti hain
Woh kehti hey, merey aangan men mausam hey baharo'n ka
Mein kehta hoon, tera chehra hey khiltey phool ki manind
Woh kehti hey, kaii baatein hein dil men khaar ki surat
Mein kehta hoon, kaii yaaden hein dil men dhool ki manind
Woh kehti hey, koi din men koi milan ka din bhi aaey gaa
Mein kehta houn, kaya behtar nahi woh aaj ka din ho
Woh kehti hey, tumhen kyun is qadar jaldi hey milney ki
Mein kehta houn, mujhey her pal azaab'e jaan sa lagta hai
Woh kehti hey, mohabbat sey mussarat bhar gayi dil men
Mein kehta houn, abhi kuch gham bhi niklen gey ta'aqubb men
Woh kehti hey, mohabbat men bohat nadaan ho tum to
Mein kehta houn, masaayel sey bohat anjaan ho tum to
Woh mujh sey poochthi hey dard ki ye raat kab tak hey
Mein kehta houn, keh pagalpan ki koi hadd nahin hoti
Woh mujh sey poochthi hey, kaun rota hey kivaron men
Mein kehta houn, abhi ik dard hey dil ki daraaron men
Woh mujh sey poochthi hey, ishq kaya dewangi kaya hai
Mein kehta houn, Koi aatish rago'n men thehar jati hai
No comments:
Post a Comment