Tuesday, 25 September 2012

Tamaam umar kahan hai woh meri kismat men




Tamam shehar ko heraan karney wala hoon,
Main apney honey ka aelaan karney wala hoon,

Kahin gira k teri yaad ka yeh kuh-e-giraan,
Safar ko aur bhi asaan karney wala hoon,

Yeh sisilsa meri ankhon pey hi nahin mokoof,
Mein tera shehar bhi viraan karney wala hoon,

Abhi woh morr nahin aaya is kahani men,
Jab mein sab ko pareshaan karney wala hoon,

Yeh kis ney raat mujhey neend sey jaga k kaha,
Chiraagh-e-khawab tujhey daan karney wala hoon,

Tamaam umar kahan hai woh meri kismat men,
Bass aik raat ka mehmaan karney wala hoon..

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets