Ik nazm, jo Proff. Satyapal Anand saahab k unn tasavvuraat kaa izhaar karti hai jo takreeban pachaas-pachpan saal ki ghair-Haaziri k baad apni paidaa'ish gaah aur bachpan ki galiyoN ki mulaaqaat leney par un k dil sey uThtey haiN, leejiye aap bhi suniye.
Nazm
Waapasi
tang pathreeli galee ney chauNk kar aawaaz dee
shaayad wohi hai!
dhuup, jo aaHistagi sey seeRRhiyaaN chaRhtey huey
be-dam si shaayad thak gayi thee, aik leHza ruk gayii
kayaa waaqeyi woh aa rahaa hai?
zouf ki maari huii buuRRhi hawaa ney poplay muNh sey kahaa
maiN us ki Khushbu suuNgh sakti huuN
wohi nat-khat hai, waapas aa rahaa hai!
buuRRhe darwazoN ki aankheN band theeN
kuchh bhi nazar aataa nahiiN, shaayad wohi ho!
us k bachpan kaa khalandra dost, ik kancha
Jo pichhley saaTh barsoN sey
galee k aik koney meN, manoN miTTi k neechey, so rahaa thaa
kulbulaa kar cheeKh uThaa,
al-madad! koii mujhey baahar nikaalo!
haaN, wohi hai, dhoop bolee,
par woh bachaa jis ko maiN pehchanti thee
aaney waaley mard k dil meN kahiiN gum ho gayaa hai.
buuRRhe darwazoN ney aankheN khol deeN
pehchantey haiN ham isay, laRkaa wohi hai
baap ki maanind lambaa ho gayaa hai!
tang pathreeli galee bolee,
maiN kitni peeRhiyoN sey
nanhey qadmoN k baRRey hotay huey sab naqsh
apney jism par sambhaal kar rakhti rahi huuN.
cheeKhtaa kancha manoN maTTI k neechey ro diyaa
maiN kaisey nikluuN?
aur phir buuRRhi hawaa jo dam-ba-Khud si ruk gayi thee
khilkhila kar haNs paRii
Aao, zaraa dekheN,
tumhaarey gaal, aankeN, baal, chehra to wohi hain
Itni muddat tak kahaaN gum ho gaye thay?
ab kaho, aaya karo gey ?
~Proff. Satyapal Anand
No comments:
Post a Comment