Friday 7 July 2023

Aur Jab Mein Mar Jaaun To

 

Aur jab mein mar jaaun

To

Mujhay kisi khushk phool ki maanind

Muhabbat ki kisi kotab men qaod kar lena

Jab zindagi men kabhi garaghat paao to

Us kotab kay boseeda auraaq mrn basi

Us khushbu ko

Apni saanson men utar"tay huye

Mujhay yaad karna

Ya phir mujhay kisi aisi jagah dafan karna

Jahan chaaron taraf pahaarr hon

Jahan raaton ko jugnu'on kay qaafilay

Aur din kay waqt titliyan mehv e raqs hon

Jahan kisi munh'zor pahaarri chashmay ki awaaz

Samaat'on ko khubsurat ehsaas bakhshti ho

Jahan moat ka bud'soorat ehsaas dairay daal kar na betha ho

Agar aisa na kar sako to mujhay kahin ghanay junglon men dafan kar aana

Jahan kisi pairr kay neechay musafir rasta bhool kar aan pohanchen

Aur meri qabr par anjanay haath dua'on kay liye uth'tay rahen

Agar aisa bhi na kar sako to

Mujhay muhabbat ki kisi kahani men dafan kar aana

Jis kay kirdaar mar jaayen lekin muhabbat hamesha zinda rahay

Agar aisa bhi na kat sako to mujhay bas apnay dil men dafan kar lena

Kyun keh tumhara dil duniya ki wahid jagah ho gi

Jahan marnay kay baad bhi mein

Yaadon ki surat men hamesha zinda rahoon ga..

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets