Showing posts with label Wasi Shah. Show all posts
Showing posts with label Wasi Shah. Show all posts

Tuesday, 10 September 2013

Chaand Nikley To Mera Jism Mehak Uth’ta Hai


Main Terey Lab Pey Hoon Darina Shikayat Ki Tarah
Yaad Rakhna Hai Tu Ney Mujh Ko Adawat Ki Tarah

Chaand Nikley To Mera Jism Mehak Uth’ta Hai
Rooh Men Utri Hui Taza Muhabbat Ki Tarah

Teri Khatir To Koi Jaan Bhi Ley Sakta Hoon
Main Ney Chaaha Hai Tujhey Gaa’on Ki Ezzat Ki Tarah

Khul Rahi Hai Merey Darina Masaayel Ki Girah
Merey Maahol Men Utra Hai Woh Barkat Ki Tarah

Ab Teray Hijr Men Koi Lutf Nahi Hai Baaqi
Ab Tujhey Yaad BhiKartey Hain To Aadat Ki Tarah

Tum Meri Pheli Mohabbat To Nahi Ho Lekin
Main Ney Chaaha Hai Tumhen Pehli Muhabbat Ki Tarah

Woh Jo Aati Hai To Phir Laut Kay Jaati Hi Nahi 
Tum Lipat Jao Kabhi Aisi Museebat Ki Tarah

Meray Dil Men Koi Masoom Sa Bacha Hai Wasi
Jo Tujhay Sochta Rehta Hai Shrarat Ki Tarha

Thursday, 30 May 2013

Bohat he aam hai duniya,bohat he khaas hai tu


Mein khush naseebi hoon teri mujhay bhi raas hai tu
Tera libaas hoon men aur mera libaas hai tu

ajeeb shay hai muhabbat bhi,door hain lekin
Teray qareeb hoon mein meray aas paas hai tu

Kiya hai khud ko faramosh mein nay teray liye
Bohat he aam hai duniya,bohat he khaas hai tu

Zamana hum ko juda kar sakay,nhi mumkin
Muhabbaton men jo naakhun hoon mein to maas hai tu

Yeh rait si meray honton pay jamm gaee kesay
Mujhay gumaan tha keh darya hoon mein to pyaas hai tu

Yeh kaun teray meray darmiyan hai jaanaan
Keh mein bhi dard men hoon aur mehv e yaas hai tu

Aag say jab tum khailo gey jal jaao gey

Thais lagay gi armaanon ko, dheeray say
Maiz pay rakhna paimaanon ko, dheeray say

Un palkon ka jhapki laina yaad rahay
Band karo jab maeykhaanon ko, dheeray say

Yaar ki baaten dard barrhaaye deti hain
Aaj pilana dewaanon ko, dheeray say

Aag say jab tum khailo gey jal jaao gey
Kaan men keh do parwaanon ko, dheeray say

Jashn kay aalam men tu un ko bhool na ja
Galay laga lay veeraanon ko, dheeray say

Be'sabri ushaaq ka shaiwa kab thehra
Karna chaak girebaanon ko, dheeray say

Is mehfil kay apnay aadaab hain wasi
Bahir kar do farzaanon ko, dheeray say

Monday, 12 November 2012

Kitni veeran yeh hatheli hai

http://cdn.wn.com/ph/img/d7/0b/314ca3c28636372c58a8676432b4-grande.jpg

Ab koi yaar hai na baili hai,
Zindagi dard ki saheli hai,

Uthney joga nahin hai terey baad,
Dil ney takleef aisi jhaili hai,

Sham sey is liye muhabbat hai,
Teri yaadon k saath kheli hai,

Muztarib kyun na ho shab-e-hijran,
Dard ki gaud men akeli hai,

Koi batlaye khawab ka mafhoom,
Raat hai, saanp hai, chambeli hai,

In lakeeron men tu nahin to Wasi,
Kitni veeran yeh hatheli hai..

Monday, 28 May 2012

Abhi to ishq men aisa bhi haal hona hai

Image


Abhi to ishq men aisa bhi haal hona hai,
Keh ashk rokna tum sey muhaal hona hai

Her aik lab pey hai meri wafa k afsaaney,
Terey sitam ko abhi la-zawaal hona hai,

Baja keh khaar hain, lekin bahaar ki rut men,
Yeh taey hai ab k humain bhi nihaal hona hai,

Tumhen khabar he nahi tum to lout jaao gey,
Tumhaarey hijr men ik lamha bhi saal hona hai,

Humari rooh pey jab bhi azaab utrey hain,
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hai,

Kabhi to roye ga wo bhi kisi ki baahon men,
Kabhi to us ki hansi ko zawaal hona hai,

Milen gi hum ko bhi apnee naseeb ki khushiyan,
Bus intezaar hai kab yeh kamaal hona hai,

Her shaqs chaley ga humari raahon per,
Mohabbaton men humen wo misaal hona hai,

Zamaana jis k gham-o-paich men ulajh jaaye,
Humaari zaat ko aisa sawaal hona hai,

Wasi yaqeen hai mujh ko wo lout aaye ga,
Usay bhi apney kiye ka malaal hona hai...!!!


Sunday, 8 April 2012

Ek Wo Din Thay Keh Ek Doosrey Ko Sochtey Thay Hum




Ab To Mumkin Hi Nai Un sey Mulaqat Wasi
Ab To Orooj Pey Pohanchi Hai Uski Zaat Wasi

Wohi Waaday Hain Or Rasmon Ki Zanjeer Baqi
Kab Badalti Hain Zamaney Ki Rawayaat Wasi

Ek Wo Din Thay Keh Ek Doosrey Ko Sochtey Thay Hum
Ab To Miltey Nhi Dono K Khayalat Wasi

Meri Her Subha Ka Aaghaz Terey Naam Sey Ho
Teri Yaadon Mai Kati Meri Her Ek Raat Wasi

Tum Kahan Or Merey Pyar Ka Mayaar Kahan
Wo Kitni Saadgi Sey Kar Gya Yeh Baat Wasi


Thursday, 29 March 2012

udaas raaton men tez coffee ki talkhiyon men




udaas raaton men tez coffee ki talkhiyon men,
wo kuch zayada hi yaad aata hai sardiyon men,

mujhey ijazat nahin hai us ko pukaarney ki,
jo goonjhta hai lahu men,seeney ki dharkanon men,

wo bachpan jo udaas raahon men kho gaya tha,
mein dhoondta huun usey tumhari sharaarton men,

usey dilasey to dey raha huun magar yeh such hai,
kahin koi khuaf barh raha hai tassaliyon men,

tum apni pouron sey janey kaya likh gaye thay jana,
chiragh roshan hain ab bhi meri hatheliyon men,

jo tu nahin hai to yeh mukamal na ho sakien gien,
teri yehi ehmiyat hai meri kahaniyon men,

mujhey yaqeen hai wo thaam ley ga bharam rakhey ga,
yeh maan hai to diye jalaye hain andhiyon men,

har ik mausam mien roshni si bekhairtey hain,
tumharey ghum key chiragh meri udasiyon men. 


اُداس راتوں میں تیز کافی کی تلخیوں میں
وہ کچھ زیادہ ہی یاد آتا ہے سردیوں میں 

مجھے اجازت نہیں ہے اس کو پکارنے کی 
جو گونجتا ہے لہو میں سینے کی دھڑکنوں میں 
وہ بچپنا جو اُداس راہوں میں کھو گیاتھا 
میں ڈھونڈتا ہوں اسے تمہاری شرارتوں میں 
اسے دلاسے تو دے رہا ہوں مگر یہ سچ ہے 
کہیں کوئی خوف بڑھ رہا ہے تسلیوں میں 
تم اپنی پوروں سے جانے کیا لکھ گئے تھے جاناں 
چراغ روشن ہیں اب بھی میری ہتھیلیوں میں 
جو تو نہیں ہے تو یہ مکمل نہ ہوسکیں گی 
تری یہی اہمیت ہے میری کہانیوں میں 
مجھے یقیں ہے وہ تھام لے گا بھرم رکھے گا 
یہ مان ہے تو دِیے جلائے ہیں آندھیوں میں 
ہر ایک موسم میں روشنی سی بکھیرتے ہیں 
تمہارے غم کے چراغ میری اُداسیوں میں

mein hoon tera khayal hai aur chaand raat hai...


mein hoon tera khayal hai aur chaand raat hai...
dil dard sey nidhaal hai aur chaand raat hai...

aankhon men chubh gayeen teri yaadon ki kirchiyaan...
kandhon pey gham ki shaal hai aur chaand raat hai...

dil torr k khamosh nazaron ko kaya mila...
shabnam ka yeh sawaal hai aur chaand raat hai...

phir titliyan si urrney lagin dasht-e-khuwaab men...
phir khuwahish-e-wisaal hai aur chaand raat hai...

campus ki nehar per hai terey haath haath men...
mausam bhi lazawaal hai aur chaand raat hai...

har aik kali ney oarrh liya maatami libaas...
har phool per malaal hai aur chaand raat hai...

meri to por por men khushi si bas gayi...
us per tera khayal hai aur chaand raat hai...

chalka sa par raha hai 'wasi' wehshaton ka rang...
har cheez pey zawwal hai aur chaand raat hai...

Sard raaton k mehaktay huway sannaatay men




Hum nay khushiyon ki tarha dukh bhi ikathay dekhay
Safah-e-zeest ko palto gay to yaad aaoon ga

Isi andaaz mien hotay thay mukhatib mujh sey
Khat kisi aur ko likho gay to yaad aaoon ga

Sard raaton k mehaktay huway sannaatay men
Jab kisi phool ko choomo gay to yaad aaoon ga

Ab to yeh ashk main honton sey chura leta hoon
Hath sey khud inhen pooncho gay to yaad aaoon ga

Shaal pehnaaye ga ab kon december men tumhen
baarishon men kabhi bheego gay to yaad aaoon ga

Is mien shamil hai meray bakht ki tareeki bhi.
Tum sayah rang jo pehno gay to yaad aaoon ga.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets