Main siyah raat kay safar parr hoon
aik qendeel yaad-e-janaan ki
haath men hai,magar hawa hai taez
main to ik baat kay safar parr hoon
jo kisi kunnj-e-labb say phooti thi
aur meri tamaam umr ko--- aik
dasht-e-pur khaar men dhakael gaii
saari subhein,usi kay naam huiin
saari fathein,usi kay naam huiin
main,faqat maat kay safar parr hoon
main to ik baat kay safar parr hoon!