Showing posts with label Mausom Poetry. Show all posts
Showing posts with label Mausom Poetry. Show all posts

Monday, 15 October 2012

Hijr men aahain bharney ka mausam

























hawa us sey kehna
keh ab shehar e dil men koi sa ho mausam theharta nahin hai
muhabbat ka ya beqaraari ka mausam
bharosey ya be aitbaari ka mausam
ho be'chain rehney ya kerney ka mausam
yunhi be'sabab jeeney marney ka mausam
ya ho hijr men aahain bharney ka mausam
judaai k khadshon sey derney ka mausam
wafaaon ka ya bewafaai ka mausam
murawwat ka ya kaj adaai ka mausam
ya phir dilnasheen shair kehney ka mausam
shanasaai k dard sehney ka mausam
ya aaya hua ashkon k behney ka mausam
ya terey khayalon men rehney ka mausam
hawa us sey kehna !
koi sa ho mausam
wo ab shehar e dil men teharta nahin hai

Udaasiy0n ka yeh mausom Badal bhi sakta tha




Udaasiy0n ka yeh mausom Badal bhi sakta tha 
Wo chaahta to meray Sath Chal bhi sakta tha


Wo Shakhs tu ney jisay Chorrnay ki jaldi ki
Teray Mizaaj k saanchy men dhal bhi sakta tha


Wo jald'baaz khafa ho k chal dia warna
Tnaaz'aat ka koi hal nikal bhi sakta tha


ANNA ney hath uthanay nahi diye warna
Meri dua say wo pathar pighal bhi sakta tha


Tamaam UMR tera muntazir raha Mohsin
yeh aur baat keh woh rassta badal bhi sakta tha

Tabdeeli Jab Bhi aati hai Mausam Ki Adaaon Men
























Tabdeeli Jab Bhi aati hai Mausam Ki Adaaon Men…
Kissi Ka Youn Badal Jana, Bohat He Yaad Aata hai…
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets