Showing posts with label Daagh Dehalvi. Show all posts
Showing posts with label Daagh Dehalvi. Show all posts

Monday, 25 March 2013

Shokhi Nay Teri Kaam Kiya Ek Nigaah Men



Shokhi Nay Teri Kaam Kiya Ek Nigaah Men
Sufi Hay Butkaday Men Sanam Khaankaah Men
Aankhain Bichaayen Ham To Adduw Ki Bhi Raah Men
Par Kaya Karain Keh Tu Hay Hamari Nigah Men
Barhta Houn Aagay Pooch Kar Us Say Muqaam-e-Ishq
Jo Fitna Mujh Ghareeb Ko Milta Hay Raah Men
Dil Main Sama Gayi Hain Qayamat Ki Shokhiyan
Do Chaar Din Raha Tha Kisi Ki Nigah Men
Raatain Museebton Ki Jo Guzrin Thien Aaj Tak
Maatam Men Aayee Hain Merey Roz-e-Siyah men
Us Tobah Par Hay Naaz Tujhay Zahid Is Qadar
Jo Toot Kar Shareek Ho Merey Gunaah Men
Aati Hay Baat Baat Mujhay Yaad Bar Bar
Kehta Houn Doarr Doarr K Qaasid Say Raah Men
Taaseer Bach K Sang-e-Hawadis Say Aayee Kaaya
Meri Dua Bhi Thokrain Khati Ha Raah Men
Kaisa Nizara Kis Ka Ishara Kahan Ki Baat
Sab Kuch Hay Aur Kuch Nahin Neechi Nigah Men
Jo Keena Aaj Hay Terey Dil Men Sitam Sha’aar
Jaaye Ga Kal Yahi To Dil Daad Khwaah Men
Mushtaq Is Sada K Bohat Dard Mand Thay
Ay Daagh Tum To Baith Gaye Aik
Aah Men

Terey Beemar Ko Aati Nahin Moat



Dua Mangay Dil Ghamgeen Kahan Tak
Kahun Main Dam Badam Aameen Kahan Tak

Musalmano Say Bughz-o-Keen Kahan Tak
Kahan Tak Ay Butt Bay Deen Kahan Tak

Terey Beemar Ko Aati Nahin Moat
Parhay Jaaye Koi Yaseen Kahan Tak

Tarapnay Do Abhi Main Bhi To Daikhoun
Woh Daitay Hain Mujhay Taskeen Kahan Tak

Mujhay Chhorain Khuda Par Dost Meray
Yeh Hangama Sar-e-Baleen Kahan Tak

Khuda Us Butt Ki Baaton Ka Hay Mushtaq
Gaya Shor Lab-e-Sheereen Kahan tak

Mera Munh Thak Gaya Shukr-e-Jafa Say
Karun Main Aafreen Tehseen Kahan Tak

Pareshanai Syah Bakhton Ki Daikho
Banay Ga Turrah Mashkeen Kahan Tak

Tasawur Men Aduw K Tum Ho Baidaar
Sunaaun Qisah Rangeen Kahan Tak

Baja Hay Ishq Main Bay Sabr Main Houn
Rahay Gi Aap Ki Tamkeen Kahan Tak

Rahay Ga Mustafa Baad Main Daagh
Ghreeb-o-Aajiz-o-Maskeen Kahan Tak

Kitab-e-Ishq k Ultay Warq Awwal Say Aakhir Tak



Kitab-e-Ishq k Ultay Warq Awwal Say Aakhir Tak
Magar Samjhay Nah Ham Is Ka Sabaq Awwal Say Aakhir Tak

Buri Hay Ibtida Bhi Inteha Bhi Teri Ulfat Ki
 Kah Is Men Hain Gham-o-Ranj-o-Qalaq Awwal Say Aakhir Tak

Bashar Ko Gar Nah Milti، Kis Ko Milti Ishq Ki Dolat
Nahin Tha koi Iska Mustahik Awwal Say Aakhir Tak

May Angoor Tohfay Men Tujhay Daita houn Ay Zahid
Rahay Ga Taiz Yaksaan Yeh Arq Awwal Say Aakhir Tak

Hazaroun Dost Dushman Bazm Men Uski Rahay Lakin
Raha Ek Shakl Par Nazm-o-Nasak Awwal Say Aakhir Tak

Likhuun Usko Jawab Ay Daagh Kaya Main Sakht Hairaan Houn
Likhay Hain Khat Men Mazmoon Idaq Awwal Say Aakhir Tak

Qalq= Bay’Qarari
Idaq = Daqeeq,Pai’chida

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets