Showing posts with label Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Ghazals. Show all posts

Sunday, 6 August 2023

Muhabbat Hum Ne Tum Ne Aik Waqti Cheez Samjhi Thi


 

javani zindagani hai na tum samjhe na ham samjhe 


ye ik aisi kahani hai na tum samjhe na ham samjhe 


hamare aur tumhare vaste men ik naya-pan tha 


magar duniya purani hai na tum samjhe na ham samjhe 


ayaan kar di har ik par ham ne apni dastan-e-dil 


ye kis kis se chhupani hai na tum samjhe na ham samjhe 


jahan do dil mile duniya ne kaaTe bo diye aksar 


yahu apni kahani hai na tum samjhe na ham samjhe 


mohabbat ham ne tum ne ek vaqti chiiz samjhi thu 


mohabbat javedani hai na tum samjhe na ham samjhe 


guzari hai javani ruThne men aur manane men 


ghaḌi-bhar ki javani hai na tum samjhe na ham samjhe 


mata-e-husn-o-ulfat par yaqin kitna tha donon ko 


yahan har chiiz faani hai na tum samjhe na ham samjhe 


ada-e-kam-nigahi ne kiya rusva mohabbat ko 


ye kis ki mehrbani hai na tum samjhe na ham samjhe

Friday, 1 September 2017

Ganwa na mujh ko keh mein teri zindagi raha hoon


















Agar'chay mein ik chattaan sa aadmi raha hoon
Magar teray baad hosla hai keh jee raha hoon

Woh raiza raiza meray badan men utar raha hai
Mein qatra qatra uski aankhon ko pii raha hoon

Teri hatheli pay kis nay likha hai qatal mera
Mujhay to lagta hai mein tera dost bhi raha hoon

Khuli hain aankhen magar badan hai tamaam pathar
Koi bataaye mein mar chuka hoon keh jee raha hoon

Kahaan milay gi misaal meri sitam'gari ki
Keh mein gulaabon kay zakhm kaanton say sii raha hoon

Na pooch mujh say keh shehar waalon ka haal kaya tha
Keh mein to khud apnay ghar men do gharri raha hoon

Mila to beetay dino'n ka sach uski aankhon men tha
Woh aashna jis say muddaton ajnabi raha hoon

Bhula day mujh ko keh be'wafaaii bja hai lekin
Ganwa na mujh ko keh mein teri zindagi raha hoon

Woh ajnabi ban kay ab milay bhi to kaya hai Mohsin
Yeh naaz kam hai keh mein bhi kabhi us ka raha hoon

Tuesday, 2 May 2017

Ishq hamara paisha thehra aashiquee apni zaat huii



Aaj hamari aankhon say phir ashkon ki barsaat huii

Ghir aayee phir say taareeki jeeven men phir raat huii


Hum ko to jis jis nay dekha bola pagal deewana

Ishq hamara paisha thehra aashiquee apni zaat huii



Bikhri teray pyar ki khushbu joon'he hum nay mondi aankhen

Hotay hotay neend hamari yaadon ki baraat huii


Hum say bhi rakhtay ho rishta fikr bhi tum ko auron ki

Chaahat men bhi duniya'daari khud socho kaya baat huii


Sapnay jeetay aankhen haareen dil jeeta aur dharkan haaray

Baazi apnay haath men thi par man'marzi say maat huii


Daal diye darya men ghoray aag laga di kashti ko

Haath men jis kay suraj qismat us kay saath huii



Monday, 13 March 2017

Usay Bhula Kay Bhi Yaadon Kay Silsilay Na Gaye


















Usay Bhula Kay Bhi Yaadon Kay Silsilay Na Gaye,
Dil-e-Tabah Teray Un Say Raabtay Na Gaye,

Kitab-e-zeest Kay Unwaan Badal Gaye Lekin,
Nisaab-e-Jaan Say kabhi Uss kay Tazkaray Na Gaye,

Main Chand Aur Sitaaron Kay Geet Gaata Raha,
Aur Meray He Ghar Say Andheron Kay Qafilay Na Gaye.

Tuesday, 22 November 2016

Kitni pyasi hain yeh banjar aankhen










Munjamid khoon men halchal kar day
Mujh ko choo aur mukammal kar day

Kitni pyasi hain yeh banjar aankhen
Abar zaaday inhen jal thal kar day

Mein nay woh dard chupa rakha hai
Jo teray husn ko pagal kar day

Saray insaan hi wehshi hain to phir
Iss bharay shehar ko jangal kar day

Ay jhulastay huay jismon kay khuda
Jaldi dopehar pay baadal kar day

Khusboo aayee hai to lotay na kabhi
Ab hawa ko bhi koi shal kar day

Ya mujhay wasl ataa kar maalik
Ya mera hijr mukammal kar day

Wednesday, 21 September 2016

Samjhay thay dosron say bohat mukhtalif tujhay















Kesay kahen keh jaan say pyaara nahin raha 
Yeh aur baat ab woh hamara nahin raha

Aansoo teray bhi khushk huway aur meray bhi
Namm ab kisi nadi ka kinara nahin raha

Kuch din tumharay laut kay aanay ki aas thi 
Phir is umeed ka bhi sahara nahin raha

Rastay meh-o-najoom kay tabdeel ho gaye 
In khirkiyon men aik bhi taara nahin raha

Samjhay thay dosron say bohat mukhtalif tujhay
Kaya maan lain keh tu bhi hamara nahin raha

Haathon pay bujh gayee hai muqaddar ki kehkashaan 
Ya raakh ho gaya woh sitara nahin raha

Tum Aamir is kay liyee udaas kyun ho 
Aik shakhs jo khabhi bhi tumhara nahin raha

Aaj Phir Yaad Muhabbat Ki Kahaani Aaii














Thehri Thehri Si Tabiyat Men Rawaani Aaii, 
Aaj Phir Yaad Muhabbat Ki Kahaani Aaii.

Aaj Phir Neend Ko Aankho'n Say Bichartay Dekha, 
Aaj Phir Yaad Koi Choat Puraani Aaii.

Muddato'n Baad Un Pay ChaLa Hamaara Jaadu, 
Muddato'n Baad Humain Baat Banaa'ni Aaii.

Muddato'n Baad Pashemaan Huwa Darya Hum Par,
Muddato'n Baad Humain Pyaas Chupaani Aaii.

Muddato'n Baad KhuLi Wus'at-e-Sehraa Hum Par, 
Muddato'n Baad Humain Khaak Urraani Aaii.

Itni Aasani Say Nahi MiLti Fun Ki DoLat, 
DhaL Gai Umr Tau GhazLo'n Pay Jawaani Aai.

Friday, 22 July 2016

Jab Naam Tera Pyar Say Likhti Hain Ungliyaan

Jab Naam Tera Pyar Say Likhti Hain Ungliyaan
Meri Taraf Zamanay Ki Uth'ti Hain Ungliyaan

Daaman Sanam Ka Haath Men Aaya Tha Aik Pall
Din Raat Us Aik Pall Say Mehakti Hain Ungliyaan

Jis Din Say Duur Ho Gaye Us Din Say He Sanam
Bas Din Tumharay Aanay Kay Ginti Hain Ungliyaan

Pathar Taraash Kar Na Bana Taaj Ek Naya
Fankaar Ki Zamanay Men Kat’ti Hain Ungliyaan

Sunday, 15 May 2016

Aisay Bichhar Kay Us nay To Mar Jana Tha


Marti Hui Zameen Ko Bachana Para Mujhay, 
Baadal Ki Tarah Dasht Men Aana Para Mujhay,

Wo Kar Nahi Raha Tha Meri Baat Ka Yaqeen, 
Phir Yun Hua Keh Mar Kay Dikhana Para Mujhay,

Bhoolay Say Meri Simt Koi Dekhta Na Tha, 
Chehray Pay Ek Zakhm Lagana Para Mujhay,

Us Ajnabi Say Haath Milanay Kay Waastay, 
Mehfil Men Sab say Haath Milana Para Mujhay,

Yaaden Thiin Dafan Aisi Keh Baad Az Farokht Bhi, 
Us Ghar Ki Dekh'bhaal Ko Jana Para Mujhay,

Us Bewafa Ki Yaad Dilata Tha Baar Baar, 
Kal Aainay Pay Haath Uthana Para Mujhay,

Aisay Bichhar Kay Us nay To Mar Jana Tha, 
Uski Nazar Men Khud ko Girana Para Mujhay...

Sunday, 20 March 2016

Muhabbat hum ne tum ne aik waqti cheez samjhi thi|


javani zindagani hai na tum samjhe na ham samjhe

ye ik aisi kahani hai na tum samjhe na ham samjhe

hamare aur tumhare vaste men ik naya-pan tha

magar duniya purani hai na tum samjhe na ham samjhe

ayaan kar di har ik par ham ne apni dastan-e-dil

ye kis kis se chhupani hai na tum samjhe na ham samjhe

jahan do dil mile duniya ne kaaTe bo diye aksar

yahu apni kahani hai na tum samjhe na ham samjhe

mohabbat ham ne tum ne ek vaqti chiiz samjhi thu

mohabbat javedani hai na tum samjhe na ham samjhe

guzari hai javani ruThne men aur manane men

ghaḌi-bhar ki javani hai na tum samjhe na ham samjhe

mata-e-husn-o-ulfat par yaqin kitna tha donon ko

yahan har chiiz faani hai na tum samjhe na ham samjhe

ada-e-kam-nigahi ne kiya rusva mohabbat ko

ye kis ki mehrbani hai na tum samjhe na ham samjhe

Monday, 30 November 2015

Likh Diya Apney Dar Pey Kisi Nay, Is Jagah Pyaar Karna Manaa Hai


Likh Diya Apney Dar Pey Kisi Nay,
Is Jagah Pyaar Karna Manaa Hai

Pyaar Agar Ho Bhi Jaaye Kisi Ko
Iska Izhaar Karna Manaa Hai

Un Ki Mehfil Men Jab Koi Jaaye
Pehley Nazrein Woh Apni Jhukaye

Wo Sanam Jo Khuda Ban Gaye Hain
Unka Deedaar Karna Manaa Hai

Jaag Uthay To Aahen Bharein Gay
Husn Waalon Ko Ruswaa Karen Gay

So Gaye Hain Jo Furqat K Maarey
Un Ko Be'daar Karna Manaa Hai

Hum Nay Ki Arz Ay Banda Parwar
Kiyun Sitam Dhaa Rahay Ho Yeh Hum Per

Baat Sun Ker Hamari Wo Bolay
Hum Say Taqraar Karna Mana Hai

Saamnay Jo Khula Hai Jharoka
Kha Na Jaana Qateel Unka Dhoka

Ab Bhi Apnay Liye Us Gali Men
Shouq-E-Deedaar Karna Manaa Hai

Likh Diya Apney Dar Pay Kisi Nay
Is Jagah Pyar Karna Mana Hai ...

Saturday, 15 August 2015

Mein nay barson ishq namaaz parhi



Mein nay barson ishq namaaz parhi
Tasbeeh e muhabbat haath liye

Chali hijr ki mein tableegh ko ab
Teri chaahat ki aayaat liye


Ik aag wohi namrood ki hai
Mein ashk hoon apnay saath liye


Majzoob hua dil banjara
Bas zakhmon ki soghaat liye


Dil masjid aankh musalla hai
Bethi hoon khaali haath liye


Ay kaash kahin say aa jaaye
Woh waadon ki khairaat liye

Thursday, 30 October 2014

Main Tasavur Hoon Meri Koi Bhi Tasveer Nahin

File:Sad guy Edward.jpg

Phir Milen Ya Na Milen La'al Keh Gohar Mujh Men
Ik Dafa Chhaan Kay To Dekh Samandar Mujh Men

Main Tasavur Hoon Meri Koi Bhi Tasveer Nahin
Tu Musawir Hai To Ehsaas Ka Rang Bhar Mujh Men 

Apni Taaser Ka Daawa Hai Kiya Kab Main Ney
Main To Zulmat Hoon Chamak Uthtey Hain Akhtar Mujh Men

Ghar K Koorrey Ki Terha Phainka Gaya Hoon Bahir
Tu Woh Chuun Ley Jo Nazar Aata Hai Behtar Mujh Men 

Ay Barahman Mujhay Itna Bhi Namaskar Na Kar
Cheekh Uthey Na Kahin Zaat Ka Shoodar Mujh Men

Main To Ik Jheel Ki Tarha Say Hon Paband-o-Khamosh
Lehren Aa Jati Hain Jab Girtey Hain Kankar Mujh Men

Friday, 26 September 2014

Kamray Men Hai Bikhra Hua Saaman Waghera



Kamray Men Hai Bikhra Hua Saaman Waghera
Khatt, Khawab, Kitaaben, Gul-o-Guldaan Waghera

In Men Sey Koi Hijar Men Imdaad Ko Aaye
Jinn, Dev, Pari, Khizar, Ya Luqman Waghera

Tu Aaye To Gathrri Men Tujhey Baandh K Dey Duun
Dil, Jaan, Nazar, Soch, Yeh Emaan Waghera

Bas Ishq Kay Muqaddar Sey Zara Khaufzada Huun
Jhela Hai Bohat Wesey To Nuqsaan Waghera...

Sunday, 25 May 2014

Mujhey Wo Mehv rakhta hai bas Apnii Tammana men




Sitaa'ray chashm men, seenay men ek Mah'taab ko rakh ker
ZameeN per Wo Mujhey Yuun hum sar-e-Aflaak karta hai

Mujhey Wo Mehv rakhta hai bas Apnii Tammana men
Buhat Sarshaar karta hai , buhat Bay'baak kerta hai

Tammanaoon ki Mittii goondh ker koozay banaata hoon
Meray ander rawaan Woh zindagii ka Chaak karta hai

Kabhii bay'zaar karta hai mujhey duniya ki khwahish sey
Kabhii duniya ki khwahish men mujhey gham naak karta hai

Merii mitti men ek pathar garra hai hijr-e-asswad ka
Khataa'yen jazb ker letaa hai, Mujh ko Paak karta hai

Monday, 12 May 2014

Adhoori Diary


Mujhey Aisa Lutf Ataa Kiya, Jo Na Hijr Tha Na Visaal Tha
Merey Mosamon Kay Mizaaj Daan, Tujhey Mera Kitna Khayal Tha

Kisi Aur Chehrey Ko Dekh Kar, Teri Shakl Zehan Men Aagaie
Tera Naam Lay Kay Mila Usay, Merey Haafzay Ka Yeh Haal Tha

Kabhi Mosamon K Saraab Men, Kabhi Baam-o-Dar K Azaab Men
Wahan Umr Hum Ney Guzaar Di , Jahan Saans Lena Muhaal Tha

Kabhi Tu Ney Ghaur Nahi Kiya, Keh Yeh Log Kese Ujarr Gaey ?
Koi Meer Jesa Garifta Dil, Terey Saamney Ki Misaal Tha

Terey Baad Koi Nahi Mila, Jo yeh Haal Dekh Kay Poochta
Mujhey Kis Ki Aag Jhulsa Gaee? Merey Dil Ko Kis Ka Malaal Tha

Kaheen Khoon-e-Dil Sey Likha Tou Tha, Terey Saal-e-Hijr Ka Aaiena
Woh Adhoori Diary Khoo Gaee, Woh Na Jaaney Konsa Saal Tha

Wednesday, 27 November 2013

Ab justajuu hai terii jafaa kay javaaz kii


Ab tak to nuur-o-niKhat-o-rang-o-sadaa kahuuN 
Main tujh ko chhuu sakuuN to Khudaa jaaney kyaa kahuuN 

Lafzon sey un ko pyaar hai mafhuum sey mujhey 
Voh gul kahen jisey main teraa naqsh-e-paa kahuuN 

Ab justajuu hai terii jafaa kay javaaz kii 
Jii chaahataa hai tujh ko vafaa aashnaa kahuuN 

Sirf is kay liye keh ishq isii kaa zahuur hai 
Main terey husn ko bhii sabuut-e-vafaa kahuuN 

Tuu chal diyaa to kitney haqaa_iq badal gaye 
Najm-e-sahar ko marqad-e-shab kaa diyaa karuuN 

Kyaa jabr hai keh but ko bhii kahanaa paRRay Khudaa 
Voh hai Khudaa to merey Khudaa tujh ko kyaa kahuuN 

Jab merey muuNh men merii zubaaN hai to kyuuN na main 
Jo kuchh kahuuN yaqiin sey kahuuN barmalaa kahuuN 

Kyaa jaaney kis safar pey ravaaN huuN azal sey main 
Har intehaa ko ek na_ii ibtidaa kahuuN 

Ho kyuuN na mujh ko apney mazaaq-e-suKhan pey naaz 
Ghaalib ko kaa_inaat-e-suKhan kaa Khudaa kahuuN

Monday, 28 October 2013

suno kaisa laga us shakhs sey milna, bichar jana?


bataao kon tha, kaisa tha, jis sey silsila thehra?
kaha, kar k wafa ka khoon aakhir bewafa thehra...

bhala phoolon say bhanwray kis zubaan men baat kartay hain?
kaha, khushboo say khushboo ka anokha raabta thehra...

zara batlaao ek unjaan par itni inaayat kyun?
kaha, dil k saheefay men yahi to moajza thehra...

suno kaisa laga us shakhs sey milna, bichar jana?
mila to ajnabi tha woh , bichar kar aashna thehra...

Bhala mehboob sou pardon main bhi kyun'kar numayaan hai?
Azal sey ta ab'ad dil k, woh ka'abey ka khuda thehra

Palat kar har taraf sey kyun nazar us shakhs per thehri?
Wafa k silsilon ki woh, musalsal inteha thehra
 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets