Showing posts with label Munir Niazi. Show all posts
Showing posts with label Munir Niazi. Show all posts

Monday, 10 September 2012

Sitarey Jo Damaktey Hain Kisi ki Chashm-e-Hairaan Men




Sitarey Jo Damaktey Hain
Kisi ki Chashm-e-Hairaan Men
Mulaqatain Jo Hoti Hain
Jamal.e.abr.o.baraan Men

Yeh Na Abad Waqton Men
Dil.e.Nashaad Men Hogi
Muhabbat Ab Nahi Ho gi
Yea Kuch Din Bad Men Ho gi

Guzar Jaayen Gey Jab Yeh Din
Yeh Un ki Yaad Men Ho gi
Muhabbat Ab Nahi Hogi...

Thursday, 29 March 2012

Gham ki baarish ney bhi terey naQsh ko dhoya nahii




Gham ki baarish ney bhi terey naQsh ko dhoya nahii

Tu ney mujh ko kho dia, maiN ney tujhey khoya nahii

NeeNd ka halka gulaabi sa khumaar aaNkhoN meN tha

Yun laga jaisey woh shab ko dair tak soya nahii

Har taraf diwar O dar aur un meN aaNkhoN ka hujum

Keh sakey jo dil ki haalat woh lab E goya nahii

Jurm Aadam ney kiya aur nasl E Adam ko saza

KaaT_ta huuN zindagi bhar maiN ney jo boya nahii

Jan_ta huN aik aisey shakhs ko main bhi ‘Munir’

Gham sey pathar ho gaya lekin kabhi royya nahii

chaman men rang-e-bahaar utaraa to main ney dekhaa




chaman men rang-e-bahaar utaraa to main ney dekhaa
nazar sey dil kaa Ghubaar utaraa to main ney dekhaa

main niim shab aazamaa k hasarat ko dekhataa thaa
chaman men voh husn zaar utaraa to main ney dekhaa
Khumaar men thii voh cheharaa kuchh aur lag rahaa thaa
Dam-e-sehar jab Khumaar utaraa to main ney dekhaa

galii k baahir tamaam manzar badal gaye they
jo saayaa ek kuu-e-yaar utaraa to main ney dekhaa

ik aur daryaa kaa saamanaa thaa 'Munir' mujh ko
main ek daryaa k paar utaraa to main ney dekhaa


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets