MUHABBAT (POETRY)





Bohat See Bay-Sabab Baatain

Faqat TAMHEED Hoti Hain

Jo Aksar Tum Say Kehta Hoon

Sunaoo Or Kaisay Hoo

Sunoo Sardi Bohat Hai Na

Nahi Mosam To Acha Hai

Chaloo Acha Main Chalta Hoon

Dobara "PHONE" Ker Loon Ga…!!

Yah Saari Bay-Sabab Baatain

Faqat TAMHEED Hoti Hain

Or Is TAMHEED Main JAANAA!

Guzar Jatay Hain Sab Lamhay…

Guzar Jatay Hain Jab Lamhay

To Phir Main Sochta Hoon Keh!

Zara See Baat He To Hai

Tumhain Jaldi Say Keh Doon Ga

Mujhay TUM Say MUHBBAT Hai

Bohat Zaida MUHABBAT Hai…









~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~






Mujhey us Sey Muhabbat Hay,

Usay bhi yaad ho shayad,

Abhi yeh kal ki baatein hain,

Mera us sey khafa hona,

Mera usko mna lena,

Sarapa iltija hona,

Woh ab bhi yad hay mujh ko,

Us k israr karnay par,

Mera iqrar kar lena,

Bohat dheemay sey lehjay men,

Yeh us k kaan men kehna,

Qasam sey hay,
Qasam sey hay,

"Mujhey tum sey MUHABBAT hay"...!









 ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~





Kaun rauk sakta hay...?????

Laakh zabt-e-khuwahish k...

Bay-shumaar da'way hoo'n...

Us ko bhool jaanay k...

Bay-panaah iraaday ho'n..

Aur us mohabbat ko tark ker k jeenay ka...

Faisla sunaanay ko...

Kitnay lafz sauchay ho'n...


Dil ko us ki aahat per...



Bermela dharraknay say kaun rauk sakta hay..???????




 ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~






tum mujhey chahtey ho
mien tujh ko
chand sey pyar hai tujhey
mujhey chandni achi lagti hai
hawaon sey mohabbat kartey ho tum
mein andhiyon sey lar letee hoon
tum sumandar ki lehron ko gin letey ho
mien un lehron ko daman mein bhar letee hoon
kitna apna pan hai ham dono mein
tazzad kahan hai?
tujh mein mujh mien
bas yahan per itna sa....
tum mohabbat kartey ho
mein aqeedat tak jhuk jatee hoon




 ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~




Kuch Khawab Hein Jin Ko Likhna Ha
Tabeer Ki Surat Deni Ha
Kuch Log Hein Ujary Dil Wale
Jinhen Apni Mohabat Deni Ha
Kuch Phool Hein Jin Ko Chunana Ha
Aur Haar Ki Surat Deni Ha
Kuch Apni Neend Baqi Ha
Jise bantna Ha Kuch Logon Mein
In ko B To Rahat Deni Ha
Ay Umrey Rawaan!
Aahista Chal
Abhi Khaasa Qarz Chukana Ha....


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Main ney Dil K Darwazay Par Likha,
"Ander Aana Mana Hai.....!!!"
Muhabbat Muskurati Hui Aayi,,
Dil K Darwazay Par Kadam Rakha,
Aur Kehnay Lagi,,,,
"Maaf Karna..!!! Main Andhi Hon......!!!"



 ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Kash usay keh daita
Zara dheyan rakhna yeh meri pehli mohabat hai
Wafa ka maan rakhna yeh meri pehli mohabbat hai
Kahan is umar main hum bhais badlain gai faqeeron ka
Milan aasan rakhna yeh meri pehli mohabbat hai
Judai kay dinon main log chehray bhool jatay hain
Meri pehchan rakhna yeh meri pehli mohabat hai…



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~




Mohabat Mehrban hogi,

Preshan tum nhi hona

Kbi chhup kr nahi rona

Judai zehr hoti hai

Muje maloom he lekin

Firaq-o-hijar ka mausam

Yaqeenan beet jaye ga.

Yaqeenan wasl k Lamhe
Dobara laot aaen ge
Wohi shamen
wohi raten
Wohi qisse
wohi baten
Wohi phir dastan hogi
Mohabat mehrban hogi...




 ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


mohabbat k maaron ko
shab guzaaron ko
is daldal main phansay
dekha hai apney pyaaron ko
so dil ney thaan liya hai
zindagee museebat nahi kerni
nahi mujay muhabbat nahi kerni

raaton ko sapney dekhoon
sapnon ko martay dekhoon
kisi k intizaar main
khud ko traptay dekhoon
apni aisi kismat nahi kerni
nahi mujhay mohababt nahi kerni

jisay chaahna
usi ki yaadon mai rehna
kabhi jaa'n, kabhi eemaa'n, kabhi sanam kehna
phir usi shakhs ko sitam-ger kehna
kisi per aisi tuhmat nahi kerni
nahi mujay mohabbat nahi kerni







 ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~






Meray saathi
meri yeh rooh jism say perwaaz kar ja'ay
to laut aanaa
meri bay'khwaab raat'oan kay azaab'oan per
sisaktay sheher mein tum bhi
zara see dair ko rukna
meray bay'noor hont'oan kee duaa'oan per
tum apni serd payshaani ka patthar rakh kay ro dayna
bas itnee baat keh dayna
"mujhay tum say mohabbat hai! "


  ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~





Mairay jaanay pay ay jaana'n...

Paraishaa'n tum nahee'n hona...

Kabhi chhup ker nahee'n rona...

Judaaii zeher hoti hay...

Mujhay ma'loom hay laikin...

Firaaq-o-hijr ka mausam yaqeenan beet jaaey ga...

Yaqeenan wasl k lamhay...

Dobaara laut aaey'n gay...

Wohi shaamai'n, wohi raatai'n...

Wohi qissay, wohi baatai'n....

Wohi phir daastaa'n ho gi...

Mohabbat meherbaa'n ho gi...!!!





  ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~





Woh Mujh Sey Yeh Nahin Kehta
Usey Mujh Sey Mohabbat Hai
Mager woh Aaj Kal Aik Janoon ki Zid Main Rehta Hai
Ajab Aik Bekhudi Hai, jo Usey Bechain Rakhti Hai
Woh Mujh Sey Baat Karta Hai....
Bohat Hi Aam Si, Mosam Ki, Logon Ki
Mehaz Duniya Ki Rasmmi Si
Woh Mujh Se Baat Karnay K Bahaney Dhondta Hai Un Hawalon Sey
Samjhta Hai Main Us Ki Aam Si Baton Ko
Buss "Yunhi" Samjhti Hoon
Woh Milta Hai Mujhay Akser Bahano Sey
K Main Guzra Yahan Se, Socha Baat Hi Kar Loon
Samjhta Hai Main Us K In Bahano Ko Na Janoon Gi
Kabhi Jo Phone Karta Hai
To Uski Mohabbat Us K Lehjay Say Jhalkti Hai
Mujhay Bechain Karti Hai
Woh Mera Dhiyan Rakhta Hai
Meri Her Baat Ko Hi Bin_Kahay Woh Jaan Layta Hai
Samjhta Hai Woh Yeh Phir Bhi....!!!
Us Nay Khud Ko Chupa Rakha Hai Khud Hi Se
Mager Akser...!!!
Woh Khud Anjanay Main Apna Yeh Parda Chaak Karta Hai
K Jab Meri Bohat Pehlay Kahi Hue
Her Baat Ko Woh Yaad Rakhta Hai
Aur Unhi Lafzoon Ko Meray Samnay Duhra Bhi Deta Hai
Yun Lagta Hai K...!!!
Us Ne Meri Kahi Her Baat Ko Yaad Rakha Hai
Woh Mujh Se Yeh Nahin Kehta
K Us Ki Khuahish Usko Bohat Bechain Rakhti Hai
Ya Shaid In Dinon Woh Khud Say Bhi Chupata Hai
Mager...!!!
Uski Nighain Akser Usay Nakaam Kartin Hain
K Sarey Jaam Ulfat K Woh Bher Bher Ker Lutati Hain
Woh Darta Hai K Kahin Kho Na Dey Mujh Ko
K Koi Baat Uski Mujh Ko Us Sey Dour Na Ker Dey
Woh Mujh Ko Sochta Hai
Jagta Hai Raat Bher Woh Bhi
Mager Shaid Abhi Usko Mohabbat Main
Khamoshi Say Hi Jalna Hai
K Woh Jab Tak Perh Nahin Leta
Yeh Aankhin Jis Main K Uska Naam Likha Hai
K Meray Laho Ki Gardishon Main Raqs Karti Chahtin Uski
Woh Jab Tuk Paa Nahin Leta
Samjh Nahin Leta, Jab Tuk...!!!
K Main Bhi Gamzan Hoon
Khamoshi Se Us K Raastey Per
Main Bhi Jagti Hoon...Sochti Hoon Raat Bher Us Ko
Mager Us sey Nahin Kehti...!!!
"Mujhey Us Se Mohabbat Hai"




   ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~




Main jis ki khatir
mohabbaton ki har aik hadd say
Guzar gaya huun
woh abhi tak mujh sey
yeh poochta hai....!
sach batao wafa karo gay .......





~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~




Woh Jaanti Thi Mager Phir Bhi "
Woh Janti Thi Wafaa Ka Ajar Nahi Hota
Muhabaton Main Sabar Ka Samar Nahi Hota
Woh Janti Thi

Muhabat Dukhon Ka Sehraa Hay
Jahan Saraab Si Khushiyan Hain
Aur Azaab Say Ghum
Jahan Hay Pyaas Judaai Ki Betahasha Magar
Milan Ki Barishain Hoti Hain Jis Dayaar Main Kam
Woh Janti Thi

Muhabat Khiraj Mangti Hay
Woh Jis Ko Dil Ka Lahoo Day Kay Jagmagaya ho
Andheri Rah Kay Liay Woh Chiragh Mangti Hay
Woh Janti Thi

Muhabat Woh Rehguzar Hay Jahan
Bichhay Hain Kaanch Judai Kay Beshumar magar
Brehna-pa hi Inhain Paar Kerna Perta Hay
Ghamon Ki Dhoop Main Jab Saibaan Koi Na Ho
Kisi Ki Yaad Ki Chaader Ko Taan Ker Khud Per
Tamam Aahain Daba Ker Guzerna Perta Hay
Woh Janti Thi Wafa Ka Ajar Nahi Hota
Muhabaton Main Saber Ka Samer Nahi Hota

Hijr Ki Raah Main Hoti Hay Betahashah ghutan
Wahan Kabhi Bhi hawa Ka Guzar Nahi Hota
Woh Janti Thi Magar Phir Bhi Rog Lay Bethi
Kisi Kay Pyar Main Janay Kyun Jog Lay Bethi
Woh Janti Thi Magar Phir Bhi.


 ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~



Yeh raat yeh tanhaai
yeh dil kay dharakanay ki aawaaz
yeh sannaata
ye doobte taaro’n ki
khaamosh ghazal khwaani
yeh waqt
ki palko’n par
soti huee veeraani
jazbaat-e-mohabbat ki
yeh aakhri angraai
bajti huee har jaanib
ye maut ki shehnaai
sab tum ko bulaatay hain
pal bhar ko tum aa jaao
band hoti meri aankho’n mein
mohabbat ka
ek Khwaab saja jaao.





 ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Woh shayad aakhri din tha
Baras guzray kayii
Main nay "mohabbat" lafz likha tha
Koi kaghaz k tukray par
Achanak yaad aaya hai
Mujh ko kisi say baat karni thi
Ussay kehna tha
Jan-e-jaan "mujhay tum say mohabbat hai"
Magar main keh nahi paya
Woh kaghaz aaj tak
Lipta para hai dhool main lekin
Kisi ko day nahi paya
Dobara chah kar bhi main
MOHABBAT KAR NAHI PAYA....!





 ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Haqeeqat-Aashnaa merey

Tujhy shayad khabar ho gi

Mujhey teri mohabat ney bohat buzdil bana dala

Main her us shay sey darti hoon

Tujhay jo cheeen sakti hai

Main Un lamho'n sey darti hoon

Judai jin men rehti hai

Main Un Aankhon sey darti hoon

Jo ban ker Yad behtay hen

Main Un lafzo'n sey darti hoon

Jo khamoshi men rehtey hen

Bicherney ki merey ham-dam

Main her us surat sey darti hoon

Tujhey shayad khabar ho gi

Mujhey teri mohabat ne bahot buzdil bana dala....!!!







 ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~



Kaya Mila Mohabbat Sey,
Khwab Ki Musaafat Sey,
Vasl Ki Tamazat Sey,
Roz-O-Shab Riyazat Sey,
Kya Mila Mohabbat Sey,
Ek Shaam Yaadon ki,
Ek Hijr Ka Sehraa, 

AUR
Ek Thaka Hua Aansu...




 ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~




Adhooray Khwaab K Andar,
Kabhi Palken Mat Bichhana,
Adhooray Khwaab Aankhon Ko Bohat Takleef Detay Hain, 


Adhoori Yaad Ko Dil Ki Zameen Mein Tum Nahi Bona,
Adhoori Yaad Dharkan Mein Bohat Chubhti, Sisakti Hai,
Khalish Bankar Khatakti Hai,
Lahoo Mein Bijliyan Ban Kar Bhatakti Hai, 


Adhooray Pyaar Ko..........Lekin Chalo Usko Jaanay Do Tum,
Mohabbat. Pyaar, Chahat, IshQ, Adhooray Hi Hotay Hain...







 ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~




woh Sari Baaten Khawaab Huien

Aur Khuwaab Sey Phir Azaab Huien

Jab Tum Ko Saba k Jhonkay Sey

Paigham Hamara Milta Tha

Jab Meri Ik Nazar Sey Hi

Chehra Yeh Tumhara Khilta Tha

Kuch Yaad Sa Tum Ko Hay Jaana?

Jab Phone Ki Aadat Roz Ki Thi

Kuch Dair Jo Mujh Ko Ho Jati

Tum Ghanton Rootha Karti Thi

Kabhi Geeton Ki Kabhi Shairon Ki

Tum Khuwahish Mujh Sey Karti Thi

Kabhi Pyar Tha Meri Baaton Sey

Mery Chehrey Sey Meri Aankhon Sey

Aur Jhank k Meri Aankhon Mein

Tum Khud Ko Dhoonda Karti Thi

Ik Do Din Dekh Na Pao To

Tum BeKal BeKal Rehti Thi

Aur Ab To Aisa Aalam Hay

Koi Chahat Hay Na Ulfat Hay

Kaya Pyar Muhabbat Aur Wafa

Iss Zikar Sey Tum Ko Vehshat Hay

Main Lakh Tasalli Khud Ko Doon

kehAb bhi Teri Khawahish Hoon

Anjaan Bazahir Lagtay Ho

Main Ab bhi Tera Mehwar Hoon

Par Dhoka Aakhir Dhoka Hay

Kab Tak Dil Ko Behlaye Ga

Do Pal Ki Khushiyan Dey Kar Yeh

Mujhay Sadiyan Lahoo Rulaye Ga

Kiyun Tum Taqdeer Sey Lartay Ho?

Kiyun Khud Ko Dhoka Detay Ho?

Khuwabon k Tukray Chun k Ab

Kiyun Khud Ko Ghayal Kartay Ho?

Yeh Baat Tumhen Maloom To Hay

Kab Beeti Yaadein Laut,ti Hain

Jo Baatein Khuwaab Si Ho Jayein

Woh Baatein Khuwaab Hi Rehti Hain...!!!





~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~





Muhabat jab lahhu ban ker
Ragon main sarsraaey to.
Koi bhoola hua chehra
Achanak yaad aaye to.
Kadam mushkil say uthtay hon
Irada dagmagay to
Koi madham say lehjay main
Tumhain wappis bulaaey to
Thehar jana..
Samajh jana.
Keh abb wapiss palatnay ka ammal aghaz hota hai
Kabhi tanhaiyon ka dard
Ankhon main samaaey to
Koi lamha guzshata chahaton ka
Tab sataaey to
Kabhi yeh pagal dil kissi ki
Yaad main rulaaey to.
Agar tum say tumhara dil
Kisi taur rooth jaaey to
Kabhi unhoniyon ka dard
Parindon ko urraeay to
Hawa jab pairr say aik zard sa
Patta giraaey to..
Thehar jana..
Samajh jana.
Keh abb wapiss palatnay ka ammal aghaz hota hai...







~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Tumhen ek din kaha tha jo..

Keh tum sey pyar kartey hain. !

Wo lamha bhool kyun baithey?
Wo jumla bhool kyun baithey?

Abhi tajdeed maango gey,
meri belos chahat ki..

Tumhen ek bar phir se wo !

Mohabbat na miley shayad !

Yeh jo tum rooth bethey ho, Tumhari kam nigahi hai..

Tmhen gar pyar karna tha!
Hamarey sath chalna tha!

Wo ek izhar sun letay..

Whi izhar kaafi tha!

Tumhen ek din kaha tha jo,

"keh tum sey pyar kartey hain.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~




Is dil mein salamat hay ab tak
Wo shokhi-e-lab wo harf-e-wafa
Wo naqsh-e-qadam wo aks-e-hina
So bar jisey chuuma hum ney
So bar parstish ki jis ki
Is dil mein salamat hay ab tak
Wo gard-e-alm wo deda-e-num
Ham jis mein chupa kar rakhtey they
Tasveer bikharti yaadön ki
Zanjèèr pighaltey waadön ki
Punji nakaam iraadön ki
Ay taiz hawa naraz na ho
Is dil mein salamat hay ab tak
Samaan bicharti saät kä
Kuch tukrray garm dopeharon kay
Kuch raaz narm sawalon kay
Kuch dur unmol khayalon kay
Ik sacha roop haqeeqt ka
Ik jhoota lafz MOHABAT ka...!



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~



Kabhi To Ki Hogi,

Sooraj Nay,

Chaand Say Mohabbat,

Tab He To,

Chaand Main Daagh Hai,

Mumkin Hai,

Chaand Nay Ki Hogi

Sooraj Say Be Wafai,

Tab He To,

Sooraj Main Aag Hai,

 ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Mere janey pe ay jana?,

Pareshan tum nahin hona,

Kabhi chhup kar nahin rona,

Judai zehar hoti hai,

Mujhey maloom hai lekin,

Firaq-o-hijr ka mosam,

Yaqenan beet jaye ga,

Yaqenan wasl k lamhe,

dobara lout aayen ge,

Wohi shaamen' wohi raaten,

Wohi qissey' wohi baaten,

Wohi phir dastan ho gi,

Mohabbat mehraban ho gi..


 ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Suno .. !!!

Chup rehna achi aadat hai
Magar
Jaana Mohabbat main
...Youn khamosh rehney sey
Mohabbat rooth jati hai
Aadat toot jati hai
Phir Khud-Kalami aan leti hai
Aur sada phir saath rehti hai .....!





 ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~




Suna Hai Is Mohabat Mein.
Bohat Nuksan Hota Hai.
Mehkta Jhoomta Jeevan.
Ghamon K Naam Hota Hai.
Suna Hai...
Chain Kho Kar Woh.
Sehar Sey Sham Rota Hai.
Mohabat Jo Bhi Karta Hai.
Bohat Badnam Hota Hai.
Suna Hai Is Mohabat Mein.
Kahin Bhi Dil Nahi Lagta.
Bina
Us K Nigahon Mein
Koi Mosam Nahi Jachta.
Khafa Jis Sey Mohabat Ho.
Woh zindgi Bhar Nahi
Hansta.
Boht Anmol Hai
Ye Dil.
Ujarr Kar Phir Nahi Basta. 


 ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mohabbat to barish jaisi hai,
jisay chooney ki khawahish men,
Hatheliyan to geeli ho jati hen,
magar,
Haath hamesha
khali hi rehtay hen...



 ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Mohabbat Rooh Men
Utra Huwa Mosam Hai Jaanaan

Ta'aluq Khatam Karney Sey
Mohabbat kam Nhi Hoti

Jo Terey Wastey
Terey Intizar
Men Guzarti Hai

Bohat Masrufiyat Par Bhi
Woh Fursat Kam Nahi Hoti

Bohat Kuch Tujh Sey Pehley Bhi
Mayassar Tha
Muyassar Hai

Na Janey Phir Bhi
Q
Teri Zarurat Kam Nahi Hoti.



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


ager tum tasleem kar lo
tumhein mujh say muhabbat hai

dhanak say rang sab lay aaun
tera aanchal saja doon main
wafa k dais mein chal kar
tujhay ik ghar bana doon main
phir us par chand taaron ka
koi pehra bitha doon main
AGER TUM TASLEEM KR LO
TUMEIN MUJH SAY MUHABBAT HAI



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~







محبت ایک دعا ہے


تم مجھے بس یہ دعا دینا
خطا کوئی جو ہو جائے
کبھی لہجہ بدل جائے
ضروری بات رہ جائے
میرا چہرا بدل جائے
اگر پہچان نہ پاؤں
تمہیں گر جان نہ پاؤں
دعا دینا
محبت ایک دعا ہے
تم مجھے بس یہ دعا دینا


ستارے توڑ نہ پاؤں
تمہارے کام نہ آؤں
توازن جو نہ رہ پائے
نظربندی نظر آئے
اشارہ ہو شرارت کا
کوئی دھوکا بصارت کا
دعا دینا
محبت ایک دعا ہے
تم مجھے بس یہ دعا دینا


میں تم سے کہہ نہیں پایا
تمہارے نام کا سایہ
میرے ہمراہ رہتا ہے
مجھے ہر پل یہ کہتا ہے
کوئی مشکل جو در آئے
تصور میرا دھندلائے
دعا دینا
محبت ایک دعا ہے
تم مجھے بس یہ دعا دینا



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~




محبت ھو بھی سکتی ھے



 پگھل پتھر بھی سکتے ہیں


الٹ دریا بھی سکتا ھے

کوئی آوارہ سا پنچھی

پلٹ کر آ بھی سکتا ھے

کہ جو شب مجھ پر ہنستی ھے

وہی شب رو بھی سکتی ھے

محبت ھو بھی سکتی ھے




~~~~~
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


محــــبت

اک وفــــا کو پانے 
کی کوشش میں,میں نےزخــــمی کردی ہیں
وفـــــائـــیـں کتنی
کتنا معصــــوم سا لگتاہے اک لــــفظ
!! مــــحبت
اور اس لفــــظ سے منسلک ھیں ســــزائــــیں کتنی؟؟؟



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


La-Ilmi


Wo kehta tha
Suno!!
Mohabaton men dooriyan
Mohabatoon ko aur mazboot bana deti hain
lekin
Usay shayed yeh khabar nahi hai
Keh faasily
Dilon per banay naqsh bhi to dhundla detay hain.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~



میں نے
تمہیں
اپنی محبت کے سحر
وفائوں کی جاگیر
اور
وعدوں کی زنجیر سے
آزاد کیا
خدارا۔۔۔۔!
یہ مت پوچھنا کہ
میں نے خود کو
تمہاری قید سے
آزاد کیا یا نہیں
یقین جانو۔۔۔!
میں
ان قیدیوں میں سے ہوں
جو کھلے دروازے دیکھ کر 
فرار نہیں ہوتے۔۔۔۔۔۔۔۔



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~




main ney
tumhen
apni mohabbat k sehar
wafaaon ki jaageer
aur
waadon ki zanjeer sey
azaad kiya
!Khuda'raa......
yeh mat poochna keh
main ney khud ko
tumhari qaid sey
azad kiya ya nahin
! yaqeen jano....
main
un qaidiyon men sey hoon
jo khuley darwazey dekh kar
!!!!! faraar nahin hotay.....


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mohabbat Rait jaisi thi 

Mujhay yeh Ghalt-Fehmi thi

keh mohabat Dhair saari thi

Dono haatho'n men bhar ker

Tamaam Umr sambhaaloo'n ga

Kabhi Khoney nhi doon ga

Mohabbat khoney k Dar sey

Muthiya'n Bheench leen main ney

magar jab muthiya'n kholi'n

To dono haath khaali thay

kyun keh...

Mohabbat Rait jaisi thi..



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Muhabbat rooh men utra hua mosam hay
so jaanan
Ta'alluq khatam karnay say
Muhabbat kam nahin hoti
Bohat kuch tujh say barh kar bhi
Mayyassar tha, mayyassar hay
Na-janay phir bhi kyun?
Teri zaroorat kam nahin hoti !!!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~



محبت کا اک پہر

یہ جو پلکوں پہ رم جھم ستاروں کا میلہ سا ہے 
یہ جو آنکھوں میں دُکھ سُکھ کے ساون کا ریلہ سا ہے 
یہ جو تیرے بنا ' کوئی اتنا اکیلا سا ہے
زندگی تیری یادوں سے مہکا ہوا شہر ہے 
سب محبت اک پہر ہے 

ساحلوں پہ گھروندے بنائے تھے ہم نے ' تمہیں یاد ہے
رنگ بارش میں کیسے اڑائے تھے ہم نے ' تمہیں یاد ہے 
راستوں میں دیئے سے جلائے تھے ہم نے ' تمہیں یاد ہے 
آئینے کس طرح سے سجائے تھے ہم نے ' تمہیں یاد ہے 

کوئی خوشبو کا جھونکا ادھر آنکلتا کہیں
گُم ہے نیندوں کے صحرا میں خوشبو کارستہ کہیں 
ہر خوشی آتے جاتے ہوئے وقت کی لہر ہے 
سب محبت کا اک پہر ہے 

زندگی دھوپ چھاؤں کا ایک کھیل ہے بھیڑ چھٹتی نہیں 
اور اسی کھیل میں دن گزرتا نہیں ' رات کٹتی نہیں 
تم نہیں جانتے خواہشوں کی مسافت سمٹتی نہیں 
پیار کرتے ہوئے آدمی کی کبھی عمر گھٹتی نہیں 

دل کی دہلیز پہ عکس روشن تیرے نام سے 
رت جگےآئینوں میں کھلے ہیں کہیں شام سے 
اک دریا ہے چاروں طرف درمیاں بحر ہے
سب محبت کا اک پہر ہے


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


انتظار شاید محبت کا نصیب ہے


لیکن جب محبت انتظار کرتی ہے
لمحے تھم جاتے ہیں
زمانے رُک جاتے ہیں
محبت ضدی ہے
آخری سانس ، آخری دھڑکن
آخری پل تک انتظار کرسکتی ہے
اور کبھی کبھی ۔۔۔۔۔۔
اس کے بعد بھی ۔۔۔



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~





محبت خاک کر دے گی

کہا تھا ناں ۔۔۔؟
محبت خاک کر دے گی
جلا کر راکھ کر دے گی
کہیں بھی تم چلے جاؤ
کسی کے بھی تم بنو اور جس کسی کو چاہے اپناؤ
ہماری یاد سے پیچھا چُھڑانا، 
اِس قدر آساں نہیں ‌جاناں!
کہا تھا ناں؟
محبت خاک کر دے گی
جلا کر راکھ کر دے گی



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~



وہ دن آج کی مانند نہیں تھے
تجھ سے ملنے سے پہلے۔۔۔
صبحیں اور شامیں بالکل ایک جیسی تھیں
شفق کے رنگ مدہم تھے
پرندے شور کرتے تھے
راتیں سب کی سب خاموش ہوتی تھیں
بہت بے کار سی دنیا تھی یہ اس لمحے سے پہلے
جب آرزو نے دامن دل تھاما تھا



مگر اب تو رنگوں سے سارا جگ چمکتا ہے
دودھیا چاند، بلوریں سورج۔۔۔
باد صبا کے نرم جھونکے
سب نیا سا لگتا ہے



شفق میں بھی روشن، سنہری رنگ بکھرے ہیں
شامیں انتظار کی زردی میں کھوئیں، صبحیں تازہ امید ہیں
پرندے تجھ سے ملنے کی خوشی میں میرے ہمراہ
میٹھے گیت گاتے ہیں
پھول کھلکھلاتے ہیں
ہوائیں اب محبت کی پیامبر ہیں


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


اُسے انجانے رستوں سے گزر جانے کی خواہش تھی
محّبت میں امر ہوجانے کی، مرجانے کی خواہش تھی
وہ کہتا تھا جیون تیرگی ہے
رنگ بھرنے ہیں اس میں روشنی کے
اور یہ ہم کو مختصر سے چند لمحے جو میسر ہیں
یہ لمحے ہمیں محبت سے آباد کرنے ہیں
کسی کو دُور سے دیکھنا، کسی سے بات کرنی ہے
جہاں یہ دن گزر جائیں وہیں پہ رات کرنی ہے
وہ کہتا ہے محبت کا کوئی موسم نہیں ہوتا
یہ ہر موسم کا جزبہ ہے جو کبھی کم نہیں ہوتا
ادھوری سی محبت ہے ہمیں تکمیل کرنی ہے
محبت کو نئے ڈھب سے بسر کرنے کی خواہش اُسے
ہر شب جگاتی ہے
نہ جانے کون سی چاہت اُسے ہر پل رُلاتی تھی
شناسا تھا ہر ایک سے پر انجان رہتا تھا
بہت آباد تھا لیکن بہت ویران رہتا تھا
اُسے ہر شخص کو حیران کر جانے کی عادت تھی
محبت میں امر ہوجانے کی، مرجانے کی خواہش تھی

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~




جہاں کے سب مذاہب میں
محبت کا تقدّس ہے
یہی انساں کے جذبوں میں
عطا سب سے مقدس ہے
محبت کا یہ جذبہ اب
بڑا پامال ہوتا ہے
یہ جس کے دل میں بس جائے
بہت بے حال ہوتا ہے
محبت کل بھی ہوتی تھی
محبت اب بھی ہوتی ہے
مگر اپنے مقدر پر 
محبت آج روتی ہے



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

محبت ایسا نغمہ ہے 
ذرا بھی جھول ہے لَے میں 
تو سُر قائم نہیں ہو تا 

محبت ایسا شعلہ ہے 
ہوا جیسی بھی چلتی ہو 
کبھی مدھم نہیں ہوتا 

محبت ایسا رشتہ ہے 
کہ جس میں بندھنے والوں کے 
دلوں میں غم نہیں ہوتا 

محبت ایسا پودا ہے 
جو تب بھی سبز رہتا ہے 
کہ جب موسم نہیں ہوتا 

محبت ایسا دریا ہے 
کہ بارش روٹھ بھی جائے 
تو پانی کم نہیں ہوتا


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

جدائی تیرگی سی ہے
محبت ہے حنا جیسی

جدائی تو ریاضت ہے
محبت ہے دعا جیسی


جدائی تو جفا خو ہے
محبت ہے وفا جیسی

جدائی بار کلیوں پر
محبت ہے صبا جیسی

جدائی بے قراری ہے
محبت ہے دوا جیسی

جدائی ایک سناٹا
محبت ہے صدا جیسی

جدائی دھوپ کا پرتو
محبت ہے گھٹا جیسی

جدائی خواب چھونے کا
محبت ہے حیا جیسی

جدائی آگ برسائے
محبت ہے ردا جیسی

جدائی رنگ بدلائے
محبت ہے سدا جیسی


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


2 comments:

Anonymous said...

outsatnding

Asad Raza said...

Thanks!

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets