Aur jab mein mar jaaun
To
Mujhay kisi khushk phool ki maanind
Muhabbat ki kisi kitab men qaod kar lena
Jab zindagi men kabhi faraghat paao to
Us kitab kay boseeda auraaq men basi
Us khushbu ko
Apni saanson men utar'tay huye
Mujhay yaad karna
Ya phir mujhay kisi aisi jagah dafan karna
Jahan chaaron taraf pahaarr hon
Jahan raaton ko jugnu'on kay qaafilay
Aur din kay waqt titliyan mehv e raqs hon
Jahan kisi munh'zor pahaarri chashmay ki awaaz
Samaat'on ko khubsurat ehsaas bakhshti ho
Jahan moat ka bud'soorat ehsaas dairay daal kar na betha ho
Agar aisa na kar sako to mujhay kahin ghanay junglon men dafan kar aana
Jahan kisi pairr kay neechay musafir rasta bhool kar aan pohanchen
Aur meri qabr par anjanay haath dua'on kay liye uth'tay rahen
Agar aisa bhi na kar sako to
Mujhay muhabbat ki kisi kahani men dafan kar aana
Jis kay kirdaar mar jaayen lekin muhabbat hamesha zinda rahay
Agar aisa bhi na kar sako to mujhay bas apnay dil men dafan kar lena
Kyun keh tumhara dil duniya ki wahid jagah ho gi
Jahan marnay kay baad bhi mein
Yaadon ki surat men hamesha zinda rahoon ga..
No comments:
Post a Comment