Kesay kahen keh jaan say pyaara nahin raha
Yeh aur baat ab woh hamara nahin raha
Aansoo teray bhi khushk huway aur meray bhi
Namm ab kisi nadi ka kinara nahin raha
Kuch din tumharay laut kay aanay ki aas thi
Phir is umeed ka bhi sahara nahin raha
Rastay meh-o-najoom kay tabdeel ho gaye
In khirkiyon men aik bhi taara nahin raha
Samjhay thay dosron say bohat mukhtalif tujhay
Kaya maan lain keh tu bhi hamara nahin raha
Haathon pay bujh gayee hai muqaddar ki kehkashaan
Ya raakh ho gaya woh sitara nahin raha
Tum Aamir is kay liyee udaas kyun ho
Aik shakhs jo khabhi bhi tumhara nahin raha
No comments:
Post a Comment