Gham ki baarish ney bhi terey naQsh ko dhoya nahii
Tu ney mujh ko kho dia, maiN ney tujhey khoya nahii
NeeNd ka halka gulaabi sa khumaar aaNkhoN meN tha
Yun laga jaisey woh shab ko dair tak soya nahii
Har taraf diwar O dar aur un meN aaNkhoN ka hujum
Keh sakey jo dil ki haalat woh lab E goya nahii
Jurm Aadam ney kiya aur nasl E Adam ko saza
KaaT_ta huuN zindagi bhar maiN ney jo boya nahii
Jan_ta huN aik aisey shakhs ko main bhi ‘Munir’
Gham sey pathar ho gaya lekin kabhi royya nahii
No comments:
Post a Comment