Sunday, 11 September 2011

Us Ki Aankhon Main Likhi Hoti Theen Jal Thal Baatain

mujh se milta tha to kerta tha wo bojhal baatain
us ki aankhon main likhi hoti theen jal thal baatain


kitnay asraar thay pinhaan uski zaat main
us ki khamoshi samander thi aur saahil baatain


uski aankhon main tha junoo'n aUr chehray pay skoo'n
kitna deewana tha wo shakhs aur pagal baatain


meri tanhaai ka jungle bhi mehak uth'ta hai
yaad aati hain jab bhi wo sandal baatain


meri hasti ko chupa leti thi jo saaye main
dhoop mausam main wo ker jaata tha badal baatain


log lafzon se bhi mar jaatay hn ehsaas karo
rooh ko das leti hain aksar yahaan qaatil baatain

bheegti aankhon main khushbu samait rakhta tha
jheel aankhon main likhi hoti thee kanwal baatainai

Saturday, 10 September 2011

sabhi kuch hai tera diya hua sabhi raahaten sabhi kalfaten

sabhi kuch hai tera diya hua sabhi raahaten sabhi kalfaten
kabhi sohbaten kabhi furqaten kabhi duuriyan kabhi qurbaten




ye sukhan jo ham ne raqam kiye yeh hain sab warq teri yad k
koi lamha subah-e-wisal ka, kaii sham-e-hijr ki qurbaten




jo tumhari maan len nasiha to rahey ga daman-e-dil main kya
na kisi udu ki adawaten na kisi sanam ki murawwaten


chalo aao tum ko dikhayen ham, jo bacha hai maqtal -e-shehar main
yeh mazaar ahal-e-safa k hain yeh hain ahal-e-sidq ki turbaten




meri jaan aaj ka gham na kar, keh na janey katib-e-waqt ne
kisi apne kal main bhi bhuul kar kahin likh rakhi hon musarraten

Friday, 9 September 2011

Agar main duur ho jaaun

Agar main duur ho jaaun
To palkon ko jhapak daina
Agar aansu koi giraay
Samajh jana keh wo hoon main
Hathaili saamnay rakhna
Keh sab aansuu girain us main
Jo ruk jaye ga honton per
Samajh jana keh wo hoon main
Kabhi jo chand ko daikho
To tum yun muskura dena
Keh phirr baadal bhi aa jaaye
Samajh jana keh woh hoon main
Jo chal jaaye hawa thandi
To ankhain band ker laina
Jo jhonka taiz ho sab say
Samajh jana keh wo hoon main
Jo zayada yaad aaon main
To tum ro laina jee bher ker
Agar hichki koi aaye
Samaj jana keh wo hoon main
Agar tum bhoolna chaho
Mujhay shayad bhula do tum
Magar jab saans aye gii
Samajh jana keh wo hoon main.....!!

safar-e-manzil-e-shab yaad nahii.n

safar-e-manzil-e-shab yaad nahii.n
log ruKhsat huye kab yaad nahii.n

dil me.n har vaqt chubhan rahatii thii
thii mujhe kis kii talab yaad nahii.n

vo sitaara thii ke shabnam thii ke phool
ik suurat thii ajab yaad nahii.n

aisa ulajhaa hu.N Gam-e-duniya me.n
ek bhii Khvaab-e-tarab yaad nahii.n

bhuulate jaate hai.n maazii ke dayaar
yaad aaye.n bhii to sab yaad nahii.n

ye haqiiqat hai ke ahabaab ko ham
yaad hii kab the ke ab yaad nahii.n

yaad hai sair-e-charaaGaa.N "Nasir"
dii ke bujhane kaa sabab yaad nahii.n

Biitaa Diid Ummiid Kaa Mausam, Khaak uRtii Hai AaNkhon Men

kab tak dil kii Khair manaayen, kab tak raah dikhaao gay
kab tak chain kii mohalat do gay, kab tak yaad na aao gay




biitaa diid ummiid kaa mausam, Khaak uRtii hai aaNkhon men
kab bhejo gay dard kaa baadal, kab barkhaa barasaao gay




ehad-e-vafaa aur tark-e-muhabbat jo chaaho so aap karo
apane bas kii baat hii kyaa hai, hamase kyaa manavaao gay




kis nay vasl kaa suuraj dekhaa, kis par hijr kii raat Dhalii
gesuon vaale kaun thay, kyaa thay, un ko kyaa jatalaao gay




'Faiz' dilon kay bhaag men hai ghar basanaa bhii luT jaanaa bhii
tum us husn kay lutf-o-karam par kitanay din itaraao gay

aaj bazaar main pa-bajolan chalo

Chashm-e-num, jaan-e-shoreeda kafi nahin
Tohmat-e-ishq-posheeda kafi nahin
aaj bazaar main pa-bajolan chalo
Dast afshan chalo, mast-o-raqsan chalo
Khak bar sar chalo, khoon badaman chalo
Rah takta hai sub shehr-e-janaan chalo
Hakim-e-shehr bhi, majma-e-aam bhi
Teer-e-ilzam bhi, sang-e-dushnam bhi
Subh-e-nashaad bhi, roz-e-naakaam bhi
Unka dum-saaz apnay siwa kaun hai
Shehr-e-janaan main ab baa-sifa kaun hai
Dast-e-qatil kay shayan raha kaun hai
Rakht-e-dil bandh lo, dil figaro chalo
Phir hameen qatl ho aain yaro chalo

mere junuun-e-parastish se tang aa gaye laug

sunaa karo merii jaan, in se, un se afsaane
sab ajnabii hain yahaan, kaun kis ko pehchaane


yahaan se jald guzar jao qaafile waalo
hain merii pyaas ke phuunke hue ye wiiraane


mere junuun-e-parastish se tang aa gaye laug
sunaa hai band kiye jaa rahe hain but-khaane


jahaan se pichhale peher koii tashnaa-kaam uthaa
wahiin pe torre hain yaaroon ne aaj paimaane


bahaar aaye toh mera salaam keh dena
mujhe to aaj talab kar liyaa hai sehraa ne


suna hai huqm ke "Kaifi" ko sang-saar karo
masiihaa baithe hain chhup ke kahaan, khuda jaane

Jab Bhi Socha Usey Aank Bher Aaye Hai

Bin Uske Zindagi Dard Hai Tanhai hai
Meri Aankho Mein Kyun Mout simat Aye Hai


Kehte Hain Log Ishq Ko Ibadat Yaro
Ibadat Mein Phir Kyun Itni Ruswai Hai


Mehfil MeiN reh Ker Bhi Tanha Rehna
Yeh Ada Uski Mohabbat Ne Sikhai hai


Uss Se taluq Hee Kuch Aesa Hai Dil ka
Jab Bhi Socha Usey Aank Bher Aaye Hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets