Saturday 27 August 2011

Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho

Ho dard or dard ka darmaan bhi na ho
to samnay rahay teri pehchan bhi na ho

mana k umer bhar tu mera ho nahin saka
aisa bhi kia k tu mera mehman bhi na ho

aaghaz is safar ka karain ao mil kay ham
jis main kahin bicharnay ka imkaan bhi na ho

ho jaiye jo bhi hona hai aisa na ho kabhi
is dil main tery milnay ka arman bhi na ho

han or qadam pay khoof hai yahan har qadam pay gham
dil kay nagar ka rasta sunsaan bhi na ho

har baar pochta hai kay akhir hai baat kia
hamdam kisi ka itna to anjaan bhi na ho

ye qufal dil kaleed e muhabbat say khol do
aisa na ho kay phir kahin Imran bhi na ho

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets