Hijr ki shab ka kisi ism say katna mushkil
Chaand poora hai to phir dard ka ghatna mushkil
Mouja-e-khwaab hai wo, us kay thikaaney maloom
Ab gaya hai to yeh samjho keh palatna mushkil
Jin darakhton ki jarrain dil men utar jaati hain
Un ka aandhi ki daranti sey bhi katna mushkil
quwwat-e-gham hai jo is tarah sambhaaley hai mujhey
warna bikhroon kisi lamhey to simatna mushkil
us sey miltey huwey chehrey bhi bohut honey lagey
shehar k shehar sey ik saath nimatna mushkil
ab k bhi khoshon pey kuch naam they pehley sey likhey
ab k bhi fasal ka dehqaanon men batna mushkil
No comments:
Post a Comment