Sunday, 24 November 2013

Na shab o roz hi badlay hain na Haal acha hai



















Na shab o roz hi badlay hain na Haal acha hai
Kis barahman nay kaha tha keh yeh Saal acha hai

Hum keh donon kay giraftar rahay, jaantay hain
Daam e duniya say kahin zulf ka jaal acha hai

Mein nay poocha tha keh aakhir yeh taghaful kab tak?
Muskuratay huye bolay keh Sawaal acha hai

Dil na manay bhi to aisa hai keh gaahey gaahey
Yar e be Faiz say halka sa Malaal acha hai

Lazzatein Qurb o Judaai ki hain apni apni
Mustaqil hijr hi acha na Wasaal acha hai

Rehruwaan e rah e ulfat ka muqaddar maaloom
In ka aaghaz hi acha na Ma'aal acha hai

Dosti apni jagah, par yeh haqiqat hai Faraz
Teri ghazlon say kahin tera Ghazaal acha hai


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets