Thursday, 10 December 2015

Is bar bhi kisi say december nahin ruka



Lambay safar ki oat men pal bar nahin ruka
Mein waqt k fareb men aa kar nahin ruka

Phir aa gaya aik naya sal dosto
Is bar bhi kisi say december nahin ruka

Lay kar kisi nay haath men kashkol-e-waqt
Aisa safar kiya keh kahin par nahin ruka

Manzar kay aks men koi chehra chatakh gaya
Sheshay kay pas aa kay jo pathar nahin ruka

Chalta raha adoo ki safain rondta huwa
Laakhon ka khoon-e-jigar kar k bhi lashkar nahin ruka

Bas yeh huwa keh Aakhri lamha bhi aa gaya
Dil ka tawaaf e koocha-e-dilbar nahin ruka

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets