Monday, 25 March 2013

Kitab-e-Ishq k Ultay Warq Awwal Say Aakhir Tak



Kitab-e-Ishq k Ultay Warq Awwal Say Aakhir Tak
Magar Samjhay Nah Ham Is Ka Sabaq Awwal Say Aakhir Tak

Buri Hay Ibtida Bhi Inteha Bhi Teri Ulfat Ki
 Kah Is Men Hain Gham-o-Ranj-o-Qalaq Awwal Say Aakhir Tak

Bashar Ko Gar Nah Milti، Kis Ko Milti Ishq Ki Dolat
Nahin Tha koi Iska Mustahik Awwal Say Aakhir Tak

May Angoor Tohfay Men Tujhay Daita houn Ay Zahid
Rahay Ga Taiz Yaksaan Yeh Arq Awwal Say Aakhir Tak

Hazaroun Dost Dushman Bazm Men Uski Rahay Lakin
Raha Ek Shakl Par Nazm-o-Nasak Awwal Say Aakhir Tak

Likhuun Usko Jawab Ay Daagh Kaya Main Sakht Hairaan Houn
Likhay Hain Khat Men Mazmoon Idaq Awwal Say Aakhir Tak

Qalq= Bay’Qarari
Idaq = Daqeeq,Pai’chida

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets