Hum nay khushiyon ki tarha dukh bhi ikathay dekhay
Safah-e-zeest ko palto gay to yaad aaoon ga
Isi andaaz mien hotay thay mukhatib mujh sey
Khat kisi aur ko likho gay to yaad aaoon ga
Sard raaton k mehaktay huway sannaatay men
Jab kisi phool ko choomo gay to yaad aaoon ga
Ab to yeh ashk main honton sey chura leta hoon
Hath sey khud inhen pooncho gay to yaad aaoon ga
Shaal pehnaaye ga ab kon december men tumhen
baarishon men kabhi bheego gay to yaad aaoon ga
Is mien shamil hai meray bakht ki tareeki bhi.
Tum sayah rang jo pehno gay to yaad aaoon ga.
No comments:
Post a Comment