Sunday 28 August 2011

Suna Hai Muunh Say Jo Niklay Qabool Hota Hai

"Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Kay Dekhtay Hain"
So Hum Bhi Hoslay Apnay Jigar Kay Dekhtay Hain


Ragon Men Daurrta Phirta Hai Wo Lahu Ban Kar
Usay Hum Apnay He Dil Men Utar Kay Dekhtay Hain


Suna Hai Sabr Say Jo Bhi Milay Wo Norus Hai
So Hum Bhi Zaaekay Apnay Samar Kay Dekhtay Hain


Suna Hai Us Kay Bhi Dil Men Khayal Paltay Hain
So Is Khayal Ko Tehreer Kar Kay Dekhtay Hain


Suna Hai Us Ki Maseehai Ka Hai Rang Juda
So Aaj Hum Bhi Hawa Men Bikhar Kay Dekhtay Hain


Suna Hai Uski Nigaahen Bhi Shair Kehti Hain
So Aaj Hum Bhi Qareenay Nazar Kay Dekhtay Hain


Suna Hai Zoam Hai Usko Kuch Apnay Khvabon Par
So Us Kay Khvab Ko Tabeer Kar Kay Dekhtay Hain


Suna Hai Muunh Say Jo Niklay Qabool Hota Hai
So Hum Bhi Mojzay Lail e Qadr Kay Dekhtay Hain


Wo BayWafa Hai Usay Pas e Ishq Raas Nahi
Muhabbaton Say Hum Apni Mukar Kay Dekhtay Hain......

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets