Kabhi yeh aaNkheN udaas ho kar bheeg jaayeN to loat aana
zard december ki sard shaameN agar sataayeN to loat aana
hum isi jagah par roz aa kar tumhaara rasta takaa kareN gay
tumhen naye shehar ki naii hawaayeN raas na aayeN to loat aana
kisi ki baateN buri lageN to suno wahaN pay zara na rukna
kisi ki aaNkheN agar tumhaari haNsi urraayeN to loat aana
naye sapnay lageN na apney to puranay sapnay oarrh lena
par dooriyoN ki taveel raateN har roz jagaayeN to loat aana
mehak ki rut meN behak kay humdum raastoN ko kho na dena
wafaa kay jugnu jab bhi tum ko sadaa lagaayeN to loat aana
baadloN meN ghir gaye to hamaari yaadeN tang kareN gi
jab baarishoN kay shareer mosam dil jalaayeN to liat aana
naey dinoN ki nai khushbu bohat mubaarak ho tum ko lekiN
gaey dinoN ki puraani yaadeiN lahu rulaaeiN to laot aana
jism aur rooh ka ajeeb bandhan na-jaaney kis dum toot jaaye
suno tumheN hum jo aik pal ko kabhi bulaayeN to loat aana!