Tuesday, 22 November 2011

ik zamanay kay baad aaii hai sham e gham



tum agar yuun he nazrain milatay rahay


maey kashi meray ghar say kahan jaaey gi


aur yeh silsila mustaqil ho to phir


bay khudi meray ghar say kahan jaaey gi


ik zamanay kay baad aaii hai sham e gham


sham e gham meray ghar say kahan jaaey gi


meri qismat men hai jo tumhari kami


woh kami meray ghar say kahan jaaey gi


shama ki ab mujhay kuch zaroorat nhi

naam ko bhi shab e gham men zulmat nhi

mera her daagh e dil kam nhi chaand say

chandni meray ghar say kahan jaaey gi

tu nay jo gham diay woh khushi say liay

tujh ko dekha nhi phir bhi sajday kiay

itna mazboot hai jab aqeeda mera

bandagi meray dar say kahan jaaey gi

zarf wala koi saamnay aaey to

mein bhi dekhoon zara is ko apnaaey to

meri hamraz yeh,iska hamraz mein

baykasi meray ghar say kahan jaaey gi

jo koi bhi teri raah men mar gaya

apni hasti ko woh jawdaan kar gaya

mein shaheed e wafa ho gaya hoon to kaya

zindagi meray ghar say kahan jaaey gi



No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets