apni khudd-daari ko har lamha bachaye rakhna
dost tum zeest ka mayyaar banaaye rakhna
moam ki tar'ha pighal jayega ikk din wo bhi
shart itni hai keh lau uss say lagaye rakhna
raah jeenay ki nazar aayegi dushwaar bohat
hausla dil ka behr haal barrhaye rakhna
janay kis lamhay haqeeqat mai badal jayega
khwaab palko'n pey hamesha sey sajaye rakhna
janay kab laut k aajaye wo aanay wala
shamm e umeed nigaho'n mai jalaye rakhna
furqat e yaar ko seh len gay kisi tarha AZEEM
sakht mushkil hai magar dil ko bachaye rakhna

No comments:
Post a Comment