Dil-o-nigah nay apna tumhi ko maana tha
wagar-na saath hamaray tau ik zamana tha
Bus yehi soch kar hum nay bichha diye aansoo!
keh bazm-e gham ko kisi taur tau sajana tha
Abhi say qurbatain furqat men kyun badal daalen
Abhi tau mosam-e jaana bohat suhana tha
merey shajar! yeh shikway shikayatain kaisi
woh musafir tha usay loat kar tau jaana tha
Jo zindagi ko naey zakhm day gaya hay Zafar
kisay bataayen keh woh dost ik puraana tha
No comments:
Post a Comment