aik aanchal say bandha hai sab kuch
aik tasweer aur tasweer peh bheegay huye hont
aik sandal ki unaabi pencil
aik bey'rabt sa ukhra hua khat
aik adad card
jis ko chooney say teri yaad chali aati hai
aur is card men rakhi hui akloti palak
jis say maanoos duaaon ki mehak aati hai
kisi gumnaam say shaayar ka adhura misra
aik paazaib say bichra hua ujla mauti
aik murjhai hui zard chanbeli ki kali
jis men ab bhi teri zulfon kay bhanwar liptay hain
aik boseeda sa question paper
jis kay konay peh likha naam abhi taaza hai
sharbati kaanch ki tooti hui naazuk choori
aik toota hua halka sa gulabi naakhun
aik gadla sa tissue paper bhi
jis peh mehkay huye ashkon kay nishaan zinda hain
yahi daulat hai yahi kuch hai asaasa mera
yahi daulat hai yahi kuch hai asaasa mera
aik aanchal say bundha hai sab kuch!
aik bheegay huye aanchal say bundha hai sab kuch!!!
No comments:
Post a Comment