Friday, 9 September 2011

Zara Sa Dard Mere Dil K Pas Chor Gaya


Chura Ker Le Gaya jaam Aur Pyas Chor gaya
WO Ek Shaks Jo Mujh Ko Udas Chor Gaya


Jo Mere Jism Ki Chahdar Bana Raha Tha Berso
Najane kyun Wo Mujhe Be-Libas Chor Gaya


Dikhai Deta Nahi Dur Tak Koi Manzar
Wo Ik Dhund Mere Aas Pas Chor Gaya


Wo Sath Le Gaya Sari Mohabbatain APni
Zara Sa Dard Mere Dil K Pas Chor Gaya

Thursday, 8 September 2011

Ek purana mausam lauta yaad bhari purwaai bhi

Ek purana mausam lauta yaad bhari purwaai bhi
Aisa to kam hi hota hai wo bhi ho tanhaai bhi


Yaadon ki bauchharon se jab palken bheegne lagati hain
Kitani saundhi lagati hai tab maanjhi ki ruswaai bhi

Do do shaklein dikhti hai is behke se aaine mein
Mere saath chala aaya hai aapka ik saudaai bhi

Khaamoshi ka haasil bhi ik lambi si Khaamoshi hai
Un ki baat suni bhi humane apni baat sunai bhi

Teri yad kahin rakh kar main bhool gaya hoon

Socha tha pehlay kar loon woh kam jo mujh ko karnay hain
Phir to saray mah o saal usi kay sath guzarnay hain


Jub yeh farz ada kar loonga jub yeh qarz utaroon ga
Umr ka baqi hissa teri yad kay saath guzaaroon ga


Aaj faraghat patay hi mazi ka daftar khola hay
Tanha'ee main baith kay apna ik ik zakhm tatola hay


Chhaan chuka hoon jism o rooh per aa'ee hu'ee kharashoon ko
Ulat pulat kar dekh liya hay armanon ki laashon ko


Kamray main rakha tha usay..ya dil main kahin dafnaya tha
Janay woh anmol khazana main nay kahan chupaya tha


Sari umr ka hasil thi yeh khonay wali cheez na thi
Soch raha hoon yad teri gum honay wali cheez na thi


Warq warq dekha hay apni gard alood kitabon ko
Jaisay koi bedari main dhoond raha ho khawaboon ko


Muddat say jo bund pari thi woh almari dekhi hay
Zang lagay sandooq ki her sha'ay baari baari dekhi hay


Kamray main phaila kar main nay suit puranay dekh liyay
Apni likhnay wali maiz ka saray khanay dekh liyay


Aql kay hathoon say bhi aksar nadani ho jati hay
Bohut sanbhaal kay rakhnay per bhi cheez kabhi kho jati hay


Apnay saray ghar waloon ko deewana sa lagta hoon
Is kamray say us kamray main khoya khoya phirta hoon


Soch samjh kar dunya ki nazroon say chupa kar rakha tha
Main nay tou is yad ko apnay liyay bacha kar rakha tha


Teri yad kahin rakh kar main bhool gaya hoon

Saturday, 3 September 2011

Faisla Ye To Karo Waqt-e-Safar Se Pehle

 Faisla Ye To Karo Waqt-e-Safar Se Pehle
Aao Ge Shaam Se Pehle Keh Sehar Se Pehle


Husn Taqseem Kia Jaye Kidher Se Pehle
Her Taraf Se Ye Sadaa Aaee Idher Se Pehle


Teray Qadmo’n K Nishaan Hain Meri Chahat Pe Faqat
Koi Guzra Na Tha Iss Raah’guzar Se Pehle


Mujh Pe Ilzaam-e-Wafa Theek Per Ay Wajh-e-Wafa
Kis Nay Dekha Tha Muhabbat Ki Nazar Se Pehle


Husn Maujood To Tha Apne Sarapay Main Adeem
Husn Maloom Na Tha Husn-e-Nazar Se Pehle


Uss Ki Surat Bhi To Ek Subha Ki Surat Hai Adeem
Dekh Li Hum Ne Sehar Waqt-e-Sehar Se Pehle

Mujh Ko Bhi Uss K Saamnay Ek Baar Le Chalo

Rakht-E-Safar Yunhi To Na Bekaar Lay Chalo
Rasta Hai Dhoop Ka, Koi Dewaar Lay Chalo


Taaqat Nahi Zubaan Main To Likh Loon Dil Ki Baat
Koi To Saath Soorat-E-Izhaar Lay Chalo


Dekhoon To Bdal K Wo Bhala Kesa Ho Gaya
Mujh Ko Bhi Uss K Saamnay Ek Baar Le Chalo


Kab Tak Nadi Ki Teh Main Utaaro Gay Kashtiaan
Abb K To Haath Main Koi Patwaar Lay Chalo


Parti Hain Dil Pe Gham Ki Agar Silwatain To Kia
Chehray Pe To Khushi K Kuch Aasaar Lay Chalo


Jitney Bhanwar Kaho Gay Pehen Loonga Jism Per
Ek Baar To Nadi K Mujhe Paar Lay Chalo


Kuch Bhi Nahi Ager To Hatheli Pay Jaan Sahi
Tohfa Koi To Uss K Leay Yaar Lay Chalo


Jungle Main Aaey Ga Koi Gaahak Kahan Adeem
Bikna Hai Ger To Saath Khareedaar Lay Chalo

jugnu aaNkhoN maiN muskaana bhool gaey

sang hawa k khail Rachana bhool gaey
sham Dhali to deep jalana bhool gaey


dil aaNgan maiN dhoop GhamoN ki kya pheli
jugnu aaNkhoN maiN muskaana bhool gaey


ta’abeeroN ki ta’azeeroN ka khof raha
wo samjhay hum khwaab sunana bhool gaey


sadiyaaN jaisay lamHoN maiN aa Thehri hoN
lam'hey jaisay Aana jaana bhool gaey


lafzoN ko mafhoom badalna yaad naheeN
rang dhanak ki qous sajaana bhool gaey


jab qeHt-e-ajnaas Tala eHsaas hua
basti walay phool ugaana bhool gaey


siski siski hoNtoN ko muskaan kia
palkoN palkoN baaR lagaana bhool gaey


tez hawa ko khaak uRaana yaad raha
Baadal kyoN baarish barsaana bhool gaey


be-sabri yaadeN rastay maiN aan mileeN
hum deevaane ghar bhi jaana bhool gaey

Friday, 2 September 2011

baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tak

baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tak
kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tak

ishq ki batain gham ki batain, dunya walay kertay hain
kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tak

ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho
yun hi bahanay qaayam rakhna, tum meray mer jaanay tak

itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana,
aa hi gayai to rukna ho ga, aankhon k pathranay tak

FARZ KARO

farz karo ham ahl-e-wafaa hoN, farz karo diivaane hoN
farz karo ye donoN baateN jhuuTii hoN afsaane hoN


farz karo ye jii kii biptaa jii se joR sunaayii ho
farz karo abhii aur ho itnii aadhi ham ne chhupaayii ho


farz karo tumheN Khush karne ke dhuuNde ham ne bahaane hoN
farz karo ye nain tumhaare sach-much ke maiKhaane hoN


farz karo ye rog ho jhuuTaa jhuuTii peet hamaarii ho
farz karo is peet ke rog meN saaNs bhii ham pe bhaarii ho


farz karo ye jog-bijog kaa hamne Dhong rachaayaa ho
farz karo bas yahii haqiiqat baaqii sab kuch maayaa ho
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets