Friday 2 September 2011

baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tak

baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tak
kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tak

ishq ki batain gham ki batain, dunya walay kertay hain
kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tak

ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho
yun hi bahanay qaayam rakhna, tum meray mer jaanay tak

itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana,
aa hi gayai to rukna ho ga, aankhon k pathranay tak

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets