Saturday, 3 September 2011

jugnu aaNkhoN maiN muskaana bhool gaey

sang hawa k khail Rachana bhool gaey
sham Dhali to deep jalana bhool gaey


dil aaNgan maiN dhoop GhamoN ki kya pheli
jugnu aaNkhoN maiN muskaana bhool gaey


ta’abeeroN ki ta’azeeroN ka khof raha
wo samjhay hum khwaab sunana bhool gaey


sadiyaaN jaisay lamHoN maiN aa Thehri hoN
lam'hey jaisay Aana jaana bhool gaey


lafzoN ko mafhoom badalna yaad naheeN
rang dhanak ki qous sajaana bhool gaey


jab qeHt-e-ajnaas Tala eHsaas hua
basti walay phool ugaana bhool gaey


siski siski hoNtoN ko muskaan kia
palkoN palkoN baaR lagaana bhool gaey


tez hawa ko khaak uRaana yaad raha
Baadal kyoN baarish barsaana bhool gaey


be-sabri yaadeN rastay maiN aan mileeN
hum deevaane ghar bhi jaana bhool gaey

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets