Socha nahi acha bura dekha suna kuch bhi nahi
maanga khuda sey raat din terey siva kuch bhi nahi
dekha tujhey socha tujhey chaha tujhey puja tujhey
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi
jis par hamari aankh ney moti bichaaye raat bhar
bheja wahi kaghaz usey hum ney likha kuch bhi nahi
ik sham ki dahaliz par baithey rahey wo dair tak
aankhon sey ki baaten bohat munh sey kaha kuch bhi nahi
do chaar din ki baat hai dil khaak men so jaye ga
jab aag par kaghaz rakha baki bacha kuch bhi nahi
ehasas ki khushbu kahan, aavaz k jugnu kahan
khamosh yaadon k siva, ghar men raha kuch bhi nahi
No comments:
Post a Comment