Tu nay dekha hai kabhi ik nazar shaam kay baad
Kitnay chup-chaap say lagtay hain shajar shaam kay baad

Itnay chup-chaap keh rastay bhi rahen gay laa-ilm
Chhorr jayen gay kisi roz nagar shaam kay baad

Main nay aisay hi gunah teri judai men kiye
Jaisay tofaan men koi chhorr day ghar sham kay baad

Sham say pehlay vo mast apani uraanon men raha
Jis kay hathon men thay Tootay huey par sham kay baad

Raat biti to ginay aablay aur phir socha
kon tha baa_is-e-aaGhaaz-e-safar sham kay baad

Tu hai sooraj tujhay maloom kahaan raat ka dukh
Tu kisi rooz merey ghar men utar shaam kby baad

Loat aaye na kisi roz wo aavaaraa mijaaz
Khol rakhatey hain isi aas pey dar sham kay baad

No comments:
Post a Comment