Thursday 22 September 2011

buhat sambhala wafa ka paimaan, magar wo barsi hai ab kay burkha


jamay gi kaisay bisaat-e-yaraan keh sheesha-o-jaam bujh gaye hain
sajay gi kaisay shab-e-nigaraan keh dil sar-e-shaam bujh gaye hain
wo teergi hai rah-e-butaan main, charagh-e-rukh na shaam-e-wa’da
kiran koi arzoo ki laao keh sub dar-o-baam bujh gaye hain
buhat sambhala wafa ka paimaan, magar wo barsi hai ab kay burkha
har aik iqraar mit gaya hai, tamam paigham bujh gaey hain
qareeb aa ay mah-e-shab-e-gham, nazar pay khulta nahin kuch is dum
keh dil pay kis kis ka naqsh baqi hai, kaun say naam bujh gaye hain
bahar ab aa kay kaya karay gi keh jin say tha jashn rang-o-naghma
wo gul sar-e-shakh jal gaye hain, wo dil tah-e-daam bujh gaye hain
(Faiz)

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets