Thursday, 29 September 2011

Dareechay say jhankti woh larki ajeeb dukh say bhari hui hai

Dareechay say jhankti woh larki ajeeb dukh say bhari hui hai
keh us kay aangan main phool per aik neeli titli mari hui hai

kabhi azaanon main khoi khoi, kabhi namazon main royi royi
woh aesay dunya ko dekhti hai keh jaisay us say darri hui hai

Drood say mehki mehki saansain,wazeefay parhti hui wo aankhein
aik shama ey umeed keh un main, kai baras say dhari hui hai

woh dukh ki chaadar main lipti lipti,woh kaalay kapron main simti simti
muhabbat wo bhi kisi say shayad , meri tarah hi kari hui hai

barray zamanoon kay baad barsi hain meri aankhein kisi ki khatir
barray zamanoon k baad dil ki zameen phir say hari hui hai........

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets