Tuesday, 20 September 2011

Meri Chashm-e-Khushk Mein Rat-jagey Ka Diya Na Ban Kay Jala Karo


Meri Chashm-e-Khushk Mein Rat-jagey Ka Diya Na Ban Kay Jala Karo
Issay Aansu-on Say Nawaaz Do Maira Zakhm Zakhm Hara Karo
Jo Ayaan Khuloos Ki Leher Hai Ye Gharaz Fareib Ka Zehar Hai
Yeh Naye Mizaaj Ka Shehar Hai Zara Faasley Say Mila Karo
Chalo Jo Tumhara Usool Hai Dil-o-Jaan Say Hum Ko Qubool Hai
Ye Jafa Tumhari Sarisht Hai To Jafaaon Pey Bhi Jafa Karo
Main Kisi Ka Aks-e-Jamaal Hoon, Main Wujood Hoon Ke Khayal Hoon
Mujhey Apni Koi Khabar Miley Mujhey Aainey Say Reha Karo
Na Yeh Zo’m Hai Na Futoor Hai Yeh Chalan Hi Maira Gharoor Hai
Mujhey Kaya Jhukaao Gey Meh-vasho Jo Haseen Ho To Hua Karo
Ye Mairi Shanaakht Ka Lafz Hai Magar Ajnabi Ki Si Tarz Hai
Issey Martaba Miley Naam Ka Issey Inn Labon Say Adaa Karo
Jo Nahin Woh Waqt To Kaya Hua Kisi Bhi Firaun Ka Khof Kaya
Keh Tumhaarey Haath Qalam To Hai So Issi Say Kaar-e-asa Karo

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets