Wednesday, 17 October 2012

Na Bujha Chiragh-e-Dayaar-e-dil, Na Bicharnay Ka Tu Malaal Kar


Na Bujha Chiragh-e-Dayaar-e-dil, Na Bicharnay Ka Tu Malaal Kar
Tujhay Dey Gi Jeenay Ka Hosla, Meri Yaad Rakh ley Sambhaal Kar

Ye Bhi Kaya Keh Aik Hi Shakhs Ko,Kabhi Sochna Kabhi Bhoolna

Jo Na Bujh Sakay Wo Diya Jala Jo Na Ho Sakay Wo Kamaal kar

Gham-e-aarzu meri justju, mein simatt k aa gaya ru-baru,
Ye sukoot-e-marg hai kis liye? mein jawaab doon tu sawaal kar,

Tu bichhar raha hai to soch ley, terey hath hai meri zindgi,

Tujhey rokna meri moat hai, meri be`basi ka khayaal kar,

Merey dard ka, merey zabt ka, meri be-basi, merey sabr ka,

Jo yakeen na aaye to dekh ley, tu hawa men phool uchaal kar..!!

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets