Friday 18 January 2013

Ik mouj e sail e ishq thi manzar sey hatt gayi


ik mouj e sail e ishq thi manzar sey hatt gayi
jo gard merey dil pey jami thi wo chhatt gayi

kaya naam tha saba k labon per dam e sehar
phoolon ki patt'ion sey meri maang att gayi

yun chup thi terey sard rawai'ye pey main mager
ik bail surkh rang ki dil sey lipatt gayi

is baar kuch hawa k bhi andaaz aur thay
khushboo wujod e gull hi men aakhir simatt gayi

tha us k merey beech mah o mushtri ka bu'ad
apni zameen ki samt main aakhir palatt gayi

shayed yahin sey jata tha us gher ko raasta
kiyun is galee men paaon ki raftaar ghatt gayi

dil ney to ranj kaata terey hijer men mager
achha hua talab ki wo zanjeer katt gayi

fikr e muaash' tuhmetain us per tera firaaq
ye zindagi bhi kitnay azaabon men batt gayi 


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets