Murjhaa key kaalii jheel men girtey huye bhi dekh 
Suraj hoon meraa rang magar din dhaley bhi dekh 

Kaaghaz ki katarnon ko bhi kehtey hain log phool 
Rangon kaa aitabaar hi kayaa, soongh kar bhi dekh 

Har chand raakh ho key bikharnaa hey raah men 
Jaltey huye paron sey urraa hoon, mujhey bhi dekh 

Tu ney hi to kaha thaa main kashti pey bojh hoon 
Aankhon ko ab na dhaanp, mujhey doobta bhi dekh 

Too hi bar'ahnaa-paa naheen is jaltee rait par 
Talvon men jo havaa key hain wo aabley bhi dekh

Bichti theen jis ki raah men phoolon ki chaadrain 
Ab us ki khaak ghaas key pairon taley bhi dekh 

Kaya shaakh-e-baa-samar hai jo taktaa hai farsh ko 
Nazaren uthaa Shakeeb, kabhi saamney bhi dekh