kyuN Khilwat-e-Gham meN rahtey ho, kyuN gosha_nashiiN bekaar huay ?
aakhir tumheiN sadmaa kaya pohANcha, kAya soch kAY Khud aazaar huay ?
kyuN saaf kushaada rastoN par, tum ThokareN khaatey phirtey ho ?
kyuN teera-o-taar sii galiyoN meN, tum aan kay Khush_raftaar huay ?
kyuN rastaa chhoRh kay chaltey ho, kyuN logoN sey katraate ho ?
kyuN chaltey-phirtey apney liye, tum aap hi ik deewaar huay ?
kaya uTh'tey baiTh'tey sochtey ho, kaya likhtey paRhtey rahtey ho ?
is umr meN yeh be_kaifii kyuN, kis vaastey nek_atwaar huay ?
kyuN aisey safar par nikley ho, maNzil nahiiN jis kii bhii ko_ii ?
kyuN raah pey aisii chaltey ho, saaye bhii jahaaN diiwaar huay ?
kyuN tark-e-alaa'iq ko tum ney, samjha hai ilaaj-e-Gham aaKhir ?
dekho to ''wali-soofi'' bhii yahaaN, kis ThaaT kay duniya_daar huay
maayoosii-e-paiham sey tum ney, yaaraana yeh kaisa gaaNTha hai
andoh-o-alam they jitney bhii, aakhir vo galay kaa haar huay
is kalba-e-ehzaaN se hargiz, ubhrey ga na sooraj ko_ii bhii
kab khaak sitaara baar hu_ii, kab saaye sehar aasaar huay
kab sub'h kay naaley kaam aaye, kaya girya-e-niim shabii sey mila
is qariya-e-Khwaab faroshaaN meN, tum kis kay liye bedaar huay ?
bekaar ulajhtey rehtay ho,KyuN ulTii-seedhii baatoN meN
yeh mar'haley vasl-o-hijraaN kay, ab aisey bhii kyuN dushwaar huay ?
us koochey kii raah to batlaa'o, jis koochey meN jaana mushkil hai
us shakhs ka naam to batlaa'o, tum jis kay liye beemaar huay
"Mushfiq" ney yeh baateN sun kay kaha, baateN na hu'iiN ash'aar huay
yeh dard baTaaney vaaley bhii, kis shaan kay Khush_guftaar huay
sad shukar keh Khush_asloobii sey, takmeel ko pohaNchii rusvaa'ii
mohtaaj-e-duaa they jo khud hii, aakhir vo meray Gham_khwaar huay
No comments:
Post a Comment