Khushbu Ka jhonka lehraya, her qarriya shaadab hua,
woh jub ghar say baahir aaya, sara shehar gulaab hua,

bedaari si bedaari hai ab aankhon menn neend kahan,
jis kay KHAWAB kabhi dekhay they ab woh chehra KHAWAB hua,

us nay mera naam likha tha khud hi apnay naam kay saath,
wabasta theen jis say yaadein ab wo shajar  naayaab hua,

main nay to ashkon men us ka dard chupana chaha,
or bhi zayada chamka jub yeh shola zair e aab hua,

ab main din ki roshni men us ko dhoondta phirta hun,
wo chehra jo bister e shab per tamseel e mehtaab hua,

kaisi baatein kertay ho tum, choro aisi baaton ko,
yaar tabbassum us say milna deewanay ka khawab hua ...