Us simt chalay ho to bas itna usay kehna
Ab koi nahi harf-e-tammana usay kehna

Duniya to kisi haal main jeeney nahi deti
Chahat nahi hoti kabhi ruswa usay kehna

Us ney he kaha tha to yaqeen main ney kiya tha
Umeed pe qaayem hai yeh duniya usay kahna

zarkhaiz zameenen kabhi banjer nahi hotin
Darya he badal letey hain rasta usay kehna

Kuch log safar k liye mozoon nahi hotay
khuch rastay kut'tay nahi tanha usy kehna