Wednesday 9 November 2011

chalo abb lot aao tum!!!!




suno tum ney kaha tha na!!
mjhay jazb-e-muhabbat say kabhi jo tum pukaro gi
main uss din lot aaoon ga!!
to daikho na!!
kaii lamhon
kaii saalon
kaii sadiyon
sey tera rasta takti
yeh meri muntzir aankhain
meray dil ki yeh dharkan aur saansain
bus tumhara naam laiti hain
wohi ik wird karti hain
meri aankhon k sahil par
teri khwahish ki mojoan ney
bari halchal machai hai
teri tasveer,sookhay phool aur tohfay!
teri chahat ki khushbu main
abhi takk saans laitay hain
woh sabb rastay keh jin par tum hamaray sath chaltay thay
woh sabb rastay jahan teri hansi k phool khiltay thay
jahan pairron ki shakhon par
hum apna naam likhtay thay
udasi say bharay manzar
tumharay lot kar aanay ki umeedain dilatay hain
suno kuch bhi nahi badla
tumharay paaun ki awaz sun’nay ki
meray kamray ki bai tarteeb chezain muntazir hain
suno!!!
takmeel paati chahton ko yun adhoora to nahi choro
mujhay matt aazmao tum
chalo abb lot aao tum!!!!




No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets