Saturday 15 September 2012

Dard ki Neeli Ragein Yaadon Men Jalney K Sabab





“Dard ki Neeli Ragein Yaadon Men Jalney K Sabab
Saari Cheekhein Rok Leti Hain Sanbhalney K Sabab
Dard Ki Neeli Ragein Haathon Men Doshezaa’on K
Choorriyaan Tak Torr Deti Hain Bikharney K Sabab
Dard Ki Neeli Ragein Thandi Hawa Sey Ashk’reiz
Surkh Hoti Rehti Hain Aansoo Nigalney K Sabab
Dard Ki Neeli Ragein Barfaab Bister Men Parri
Toot Jaati Hain Terey Khwabon Men Chalney K Sabab
Dard Ki Neeli Ragein Umron K Neeley Payrrr Ko
Zard Kerti Jati Hain Sehra Men Palney K Sabab
Dard Ki Neeli Ragein Tau Shor Kerti Hain Bohat
Paiker’e Nazuk Mein Iss Dil K Machalney K Sabab
Dard Ki Neeli Ragein Naina Samundar Ban Gayeen
Hijr Ki Raaton Ka Pehla Chaand Dhalney K Sabab”

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets