Friday, 30 September 2011

Kaho dukh k samander ka safar ab tak raha kaisa..?


Kaho dukh k samander ka safar ab tak raha kaisa..?
Kaha ujlay kinaaro’n ka koi imkaan daikha hay…
Kaho darya kinaaro’n say bhhala kya guftugoo thehri..
Kaha darya ko apnay zabt pay hairaan daikhha hay…
Kaha kyun kis liyay khhola yeh tum nay dil ka drwaza
Bataaya dil k rasto’n per koi mehmaan daikhha hay…
Kaho us ishq ki baabat, bhhala kya had rahi ho gi..?
Kaha woh ishq jaisay rooh ka sartaan daikhha hay…
Kaho us say bichharrnay ki, tumhain manzoor yeh hoga
Kaha jeenay ki khuwaahish ko kabhi qurbaan daikhha hay…
Kaho phir tum pay kya guzri, woh khuwaab-e-zindagi khho ker..?
Kaha kal apni aankho’n ko bohot bay-jaan daikhha hay

sung meray uski nisbat thee kuch aisee laa-jawaab


Dard dil ko dey gaya, aankhoon ko paani dey gaya
jaatay jaatay woh mujhe apni nishaani dey gaya
rung gaya woh is qadar palkon ki jhaalar ko meri
khwaab kuch woh sabz, peelay, aasmaanee dey gaya.
meray bujhti lau ko jab se kar gayaa hai taiz woh
Tootee saansoon ko meri zindagani dey gaya.
Ley gayaa woh saath apnay vasl ki har aik aas
shaam-e-furqat kay liye yaadien suhanee dey gaya.
sung meray uski nisbat thee kuch aisee laa-jawaab
jo kisee se keh na paaoon woh kahani de gaya

Merey hi dil par huay hain naazil, mohabbaton kay azaab saarey


Rafaqaton nay diay hain mujh ko adawaton kay, ataab saarey
Merey hi dil par huay hain naazil, mohabbaton kay azaab saarey
Khushi ki mehfil na raas aaee, hazaar chaaha keh muskurayen
Tapish say ghum ki jhulas gaey hain, shaguftagee ka gulab saarey
Yahi hay tadbeer-e-husn-e-gulshan, ewaz gulon key miley hain kaantey
Ajeeb qismat ka hay karishma, gunha baney hain sawab saarey
Gharoor say sar utha rahay they, wo jashan-e-hasti mana rahay they
Hawa nay kheencha jab apna daaman hawa hoay phir ehbaab saarey
Wo khushboon ka libaas pehney, mila kuch aisay keh aik pal main
Parray huay they jo jisim-o-jaan par, uttar gaey wo naqaab saarey
Sawaal saada sa zindagi say, kiya tha hum nay bhi aik SARWAT
Wo pathron ki hui hay barish keh mil gaey hain jawaab saarey

yaar ko humne ja-ba-ja dekha


yaar ko humne ja-ba-ja dekha
kahin zahir kahin chhupa dekha
kahin mumkin hoa kahin wajib
kahin fani kahin baqa dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha
kahin zahir kahin chupa dekha
kahien woh baadshaah-e-takht nasheen
kahin kaasa liye gadaa dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha
kahin zahir kahin chupa dekha
kahin wo dar libaas-e-mashookan
bar-sare naaz aur aada dekha
kahin zahir jahin chupa dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha
kahin aashiq niyaz ki soorat
seena Girya-o-dil jala dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha
kahin zahir kahin chupa dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha

khaak e dar e jananaan kaya hai,ehl e dil ki aankh ka surma

gee chaahay to sheesha bun ja gee chaahay paimana bun ja,
sheesha paimana kaya bunun'aa,maey bun ja maeykhana bun ja

maey bun kar, maeykhana bun kar,masti ka afsana bun ja
masti ka afsana bun kar,hasti say begana bun ja

hasti say begana hona,masti ka afsana bunun'aa
is honay say,is bunan'ay say,acha hai dewana bun ja

dewana bun janay say bhi,dewana hona acha hai
dewana honay say acha,khaak e dar e jananaan bun ja

khaak e dar e jananaan kaya hai,ehl e dil ki aankh ka surma
shama kay dil ki thandak bun ja,noor dil e parwana bun ja

seekh zaheen kay dil say jalna,kaahay ko her shama pay jalna
apni aag men khud jal jaaey,tuu aisa parwana bun ja

Tujhay hai mashq-e-sitam ka malaal waisay he

Tujhay hai mashq-e-sitam ka malaal waisay he

hamari jaan thi, jaan pr wabaal waisay he

Chala tha zikr zamanay ki bewafai ka

So aa gya tumhara khyaal waisay he

Hum aa gaye tah-e-daam to naseeb apna

Wagarna us nay to phainka tha jaal waisay he

Main rokna he nahi chahta tha waar us ka

Giri nahi meray haathon say dhaal waisay he

Mujhay b shoq na tha daastaan sunanay ka

Us nay b poocha tha haal waisay he

Suna hai yaad kartay ho

Suna hai yaad kartay ho

keh jub shaam dhalti hai

hijar main jaan jalti hai

tum apni raat ka aksar

sakoon barbad kertay ho

Suna hai yaad ketay ho

keh jub panchhi loat aatay hain

ghamon k geet gaatay hain

"suno tum loat aao na"

yehi faryad kertay ho.. suna hai yaad kertay ho.

MOHABBAT DARD KI SURAT

MOHABBAT OSS KI SURAT
pyasi pankhari k hont ko sairaab karti hay
gulon ki aastinoon main anokhay rang bharti hay
sehar k jhatpatay main gungunati muskurati hay
mohabbat k dino main dashat bhi mehsoos hota hay
kisi firdos ki surat.......................mohabbat oss ki surat

MOHABBAT ABAR KI SURAT
dilon ki sarzamin pay ghir k aati aur barasti hay
chaman ka zarrah zarrah jhoomta hay muskurata hay
azal ki bay namoo matti main sabza sar uthata hay
jo dil hian qabar ki surat...................mohabbat abar ki surat

MOHABBAT AAG KI SURAT
bhujay sino'n main jalti hay ,tu dil baidaar hotay hain
mohabbat ki tappish main kuch ajab israr hotay hain
keh ..jitna yeh bharrakti hay ,uroos-e-jan mehakti hay
dilon k saahilon pay jama hoti aur bikharti hay
mohabbat jhaag ki surat.....

MOHABBAT KHAWAB KI SURAT
nigahon main utarti hay kisi mahtaab ki surat
sitaaray aarzu k is terhaa say jagmagatay hain
keh pehchani nahi jati dil-e-baitaab ki surat
mohabbat k shajar par khawab k panchi utartay hain
tu shaakhain jaag uthti hain
thakay haaray sitaray jab zamin say bat kartay hain
tu kab ki muntizar aankhon main........shammain jaag uthti hain
mohabbat in main jalti hay charagh-e-aab ki surat
mohabbat aag ki surat

MOHABBAT DARD KI SURAT
guzishta mosamon ka ist'aaraah ban k rehti hay
shabaan-e-hijar man roshan sitarah ban k rehti hay
mandairon par charaghon ki lo'yen jab thartharati hain
nagar main na umeedi ki hawayen sansanati hain
gali main jab koi aahat koi saya nahi rehta
dukhay dil k liye jab koi bhi dhoka nahi rehta
ghamon k bojh say jab tootnay lagtay han shaanay tu
yeh un pay haath rakhti hay
kisi hamdard ki surat
guzar jatay hain saaray qaafilay jab dil ki basti say
fizaa man tairti hay dair tak......yeh gard ki surat
mohabbat dard ki surat

Kis Maqaam pe aa k Haarray Hain,?

Zabt ki kon si manzil thi?
Kis Maqaam pe aa k Haarray Hain,?
Itna to tumhain maaloom hi hai
Tery naam pe a k Haary hain,
Kabhi khud pe jabr kia Hum ne,
Kabhi khud ko youn baymol kia,
Hum Subha k lutnay wale the,
Aik Shaam pe aa k haary hain,
Aik Dard musalsal hota hai,
Aik Barish ander hoti hai,
Keh heeron jaise log yahan
Ilzam pe aa k haarey hain,
Kub Jeet ka Daawa Hum ne kia?
Ye azal abad ka qisa hai,
Hum be-khabri k aalam mein
ANJAAM pe aa k haary hain...

Main keh thehri hui koi taqdeer tha jub dua chal parri

Main keh thehri hui koi taqdeer tha jub dua chal parri
Dhoop apni bulandi peh aanay ko thi aur ghata chal parri

Ab kahan koi mehfooz reh paye ga aisay aalam main jub
Sheher main doosron ko kuchal dainay ki waba chal parri

Her koi apnay mernay say pehlay hi marg aashna ho gaya
Ya Khuda teri dunya main kesi 
yeh rasm e qaza chal parri

Sheher bhar main tumharay chalay janay say is qadr habs tha
Saans chalti thi apni to lagta tha jesay hawa chal pari

Us nay aanchal fizaon main thora sa lehraya tha aur bas
Phool samjhay thay shayad keh na-waqt baad e saba chal parri

Raat bhi kitni ziddi hai, bilkul kisi dil ruba ki tarah
Main nay kuch dair is ko manaya nahin yeh khafa chal parri

MUJHAY TUM YAAD AATAY HO!!!

MUJHE TUM YAAD AATAY HO
Kissi Sunsaan Sapnay Mein
Kissi Chhupi Khwahish Ki Hidat Mein
Kissi Masrofi-yat Kay Morr Pay
Kissi Basti Ki BaRonaq Sarrak Par
MUJHAY TUM YAAD AATAY HO
Kahin Barish Baras Jaaey
Kahin Sehra Taras Jaaey
Kahin Baad-e Saba Thehray
Tumharay Aur Meray Darmiyan Aa K Khuda Thehray
To Meri ZinDagi K Awal-o-Aakhir
TUM Uss  Lamhay
Khuda K Baad Aatay Ho
MUJHAY TUM YAAD AATAY HO!!!

MUJHE TUM YAAD AATE HO..

Koi jub phool sa Chehra meri Aankhon ko Bhata hai...!
Kabhi Apni kitabon mein koi jub khat chupata hai....!
MUJHE TUM YAAD AATE HO...!
Mein Khoya rehta hun din bahr Gham-e-Dunya ki Jannat mein...!
Magr Jub milne ko mujh se Chaand ata hai...
MUJHE TUM YAAD AATE HO...!!
Mein Geeli Ret per aksaar Tumhara Naam likhta hoon..!
Magr Paani mere likhe hue ko jub MitatA hai....
MUJHE TUM YAD AATE HO...!
kOI jUB Wird krta hai Mohabbat k Wazeefon ka...
Namaz-e-Ishq mein jub koi Sajde mein jata hai...
MUJHE TUM YAAD AATE HO..!!
Tumhara naam parhta hun mein in saanson ki Tasbeeh per...
Aur her Tasbeeh pe jub Tum ko in sansoon mein Paata hoon...
MUJHE TUM YAAD AATE HO..
Mohabbat jub JUnoon ki aakhri Manzil ko chooti hai...
Tumhari yaad mein aksaar mein Tum ko bhool jata hoon...!
MUJHE TUM YAAD AATE HO...!
Mein jo bhi Raasta chunta hoon Tum per khatum hota hai...
Jahan per Tum theherte ho woheen Manzil Bunata hoon...
MUJHE TUM YAAD AATE HO...
Tum ko Bholne ki Koshishen Nakaam rehti hain...!
Tumari yaaD ko Thapak kr jub sulata hoon...!
MUJHE TUM YAAD AATE HO....!!

Aik shikasta din ki mutthi bund hai kuch samaan liye

Aik shikasta din ki mutthi bund hai kuch samaan liye
Kon isay ab meray elawa kholney ka dukh jhelay ga
Kon yahan ab be-kal hoga dil main kuch arman liye
Gar yeh mutthi khul jaye to jantay ho kya pao gay...??
Aansoo ban kar beh janay wali aik adhoori neend ka dukh
Aik sisakta sajdah jis kay aakhir main do uthay haath
Bin mangay kuch, dhalkey hon gay aapna aap be-jaan liye
Aik jhijakta aks, lamha bhar chamka tha aainay main
Doojay pal hi khudh say khafa tha kuch tevar anjaan liye
Sehra honton ki woh hasrat piyaas ka ik meezan liye
Do aankhain jo gum sum hain ab khwabon ka ehsan liye
Us manzar ko takti reh gayeen jo ab shayad badley ga
Aik udasi ka paikar kuch bikhray bikhray halon main
Ishq ka pehla misra likh kar jazb ka ik deewan liye
Ik adhoori nazm ka misra .. ik takmeel ki khwahish main
Samjhay jany ki hasrat ka na mumkin imkaan liye
Sari umr ki umeedon kay be-rooh jismon ka lashkar
Aaj bhi yakja ho betha tha rayeegan janay ki khatir
Ik musalsal mehv e intezar tamanna janay kya kya dheyan liye
Din kay kinaron par kuch boseeda safhay raakh ki soorat thay
Apney andar jal bujhi shikaston ki ik dastaan liye
Kon isey ab meray elawa kholnay ka dukh jhelay ga !!!
Aik shikastaa din ki mutthi bund hai kuch samaan liye

Meri Laparwah Tabiyat Nay Tumhen Bhi Kho Diya Hai



Khuch kho denay ki aadat to
Pehlay bhi thi mujh mein,
Meri is aadat pay Tum buhat hanstay thay,
Har Roz khuch na khuch kho dena
Khalish bhi bun jati hai Janaa..!
Khuch kho denay ka Ehsaas jub mujhay Rulaata ..
To tum meray aansoo puunchna na bholtay thay..
Lekin Aaj meray yeh Ansoo
kon apni hatheliyon pay jamaa karay...?
Keh meri La Parwa Tabiyat nay
TUMHAIN BHI KHO DIYA HAI...

Kabhi ishq ho to pata chalay

Bisaat e jaan pe azaab utertay hain kis tarah
Shab o roz dil pe ataab utertay hain kis tarah
Kabhi ishq ho to pata chalay
Ye jo log say chupay huay hain pas e dostaan
To yeh kon hain?
Yeh jo rog say hain chupay huay pas e jism o jaan
Tou yeh kis liye?
Yeh jo kaan hain meray aahaton pe lagay huay
Tou yeh kyun bhala?
Yeh jo hont hain saf e dostaan mein silay huay
Tou yeh kis liye?
Yeh jo iztarab racha hua hai wajood mein
Tou yeh kyun bhala?
Yeh jo sang sa koi aa gira hai jamood mein
Tou yeh kis liye?
Yeh jo dil mein dard chhira hua hai lateef sa
To yeh kab say hai?
Yeh jo putlion mein hai aks koi khafeef sa
So yeh kab say hai?
Yeh jo aankh mein koi baraf si jami hui hai
Tou yeh kis liye
Yeh jo doston mein naii naii si kami hui
Tou yeh kyun bhala?
Yeh jo log peechay parray huay hain fazool mein
Inhein kiya pata? Inhein kya khabar?
Kisi raah k kisi mor per jo inhein zara
Kabhi ishq ho to pata chalay

Mujhay kiyon Azeez ter hay yeh dhuwan dhuwan sa mausam

Mujhay kiyon Azeez ter hay yeh dhuwan dhuwan sa mausam
Yeh hawa e shaam e hijran mujhay raas hay tou kiyon hay


Mai ujar kay bhi hoon tera, Tu bichar kay bhi hay mera

Ye Yaqeen hay tou kiyon hay, Ye Qiyas hay tou kiyon hay

Jis sham barastay hainn teray hijr kay baadal

Jis sham barastay hainn teray hijr kay baadal
yunhi meray pehloo mein chala aata hai aksar
wo dard jisay hum nay pukara nahi hota
us shab koi hijr ka tara nahi hota

"MUJHAY US SE MOHABBAT HAI”

Wo mujh say nahi kehta …
Keh usay mujh say mohabbat hai …
Magar woh aaj kal, aik junoon ki zad main rehta hai …
Ajab aik bekhudi hai jo usay bechain rakhti hai …
Woh mujh say baat karta hai …
Bohot hi aam si, mousam ki, logon ki …
Meyhaz dunya ki rasmi si …
Woh mujh say baat karnay kay, bahanay dhoondta hai in hawalon say …
Samajhta hai main us ki aam si baaton ko bas “yoonhi” samajhti hoon …
Woh milta hai aksar bahanon say …
Keh main guzar raha tha yahan say to socha keh baat hi kar loon …
Samajhta hai keh main us kay in bahanoon ko na janoongi …
Kabhi jo phone karta hai …
Tou us ki mohabbat us kay lehjay say chalakti hai …
Mujhay bechain karti hai …
Woh mera dhayaan rakhta hai …
Meri har baat ko hi bin kahay jaan leta hai …
Samajhta hai woh yeh phir bhi …
Key us nay khud ko chupa rakha hai khud hi say …
Magar aksar …
Woh khud anjanay main apna yeh parda chaak karta hai …
Key jab meri – bohat pehlay kahi hui har baat ko woh yaad rakhta hai …
Aur unhi lafzon main meray saamnay dohra bhi deta hai …
Youn lagta hai …
Keh us nay meri kahi har baat ko yaad rakha hai …
Woh jaisay aik Sahifa ho …
Woh mujh say yeh nahin kehta …
Keh us ki khwahish us ko bohot bechain rakhti hai …
Ya shayad in dinon woh khud say bhi chupata hai …
Magar …
Uski nigaahain aksar us ko nakaam karti hain …
Keh saray Jaam ulfat kay woh bhar bhar kar lutaati hain …
Woh darta hai keh kahin woh kho na day mujh ko …
Keh koi baat us ki mujh ko us say duur na kar day …
Woh mujh ko sochta hai …
Jaagta hai raat bhar woh bhi …
Magar shayad abhi us ko mohabbat main ….
Khamooshi say hi jalna hai …
Keh woh jab tak parh nahin leta …
Ye aankhain, jis main keh us ka naam likha hai …
Keh meray lahoo ki gardishon main raqs karti chahatain us ki …
Woh jab tak paa nahin leta …
Samajh leta nahin jab tak …
Keh main bhi gaamzan hoon …
Khamooshi say us kay raastay par …
Main bhi jaagti hoon, sochti hoon raat bhar us ko …
Magar us say nahin kehti …
Keh …

"MUJHAY US SE MOHABBAT HAI” …

Meri BaaNhooN MeiN BeHknay Ki Saza Bi Sunn Lay

Tang Aaghosh MeiN Aabaad KarooN Ga Tujh Ko
HooN BuHt Shaad Keh Na’shaad KarooN Ga Tujh Ko


Fikkr-e Eijaad MeiN Guum HooN Mujhay Ghafil Na Samajh

Apnay Andaaz Per Eijaad KarooN Ga Tujh Ko


Nasha Hai Raah Ki Doori Ka Keh Hamrah Hai Tu

Janay Kis SheHar MeiN Aabaad KarooN Ga Tujh Ko


Meri BaaNhooN MeiN BeHknay Ki Saza Bi Sunn Lay

Abb Bohat Dair MeiN Aazaad KarooN Ga Tujh Ko


MeiN Keh ReHta HooN Ba’sad-e Naaz GuraizaaN Tujh Say

Tu Na Ho Ga To Bohat Yaad KarooN Ga Tujh Ko

tumharay lehjay ki narm shabnam


tumharay lehjay ki narm shabnam
mujhay bhagoti rahi hai shabb bhar
tumhari baatoon ki sabz mehkaar, apnay andar
mujhay samoti rahii hai shabb bhar
tumharay hathoon ka lams e payham
mere badan ko gulaab kerta raha hai shabb bhar
zameen ko mahtaab kerta raha hai shabb bhar

Thursday, 29 September 2011

bas teraa naam hii mukammal hai


nazm ulajhii huii hai siine me.n 
misare aTake hue hai.n hoNTo.n par 
u.Rate-phirate hai.n titaliyo.n kii tarah 
lafz kaaGhaz pe baiThate hii nahii.n 
kab se baiThaa huu.N mai.n jaanam 
saade kaaGhaz pe likh k naam teraa
bas teraa naam hii mukammal hai 
is say behtar  nazm bhii kyaa hogii
(Gulzar)

Main kuchh kuchh bhoolta jaata hoon ab tujhko



Main kuchh kuchh bhoolta jaata hoon 
ab tujhko, 
Tera chehra bhi dhundhlaane laga hai 
ab takhayuul mein... 
Badalne lag gaya hai 
Ab woh subah-o-shaam ka mamool, 
Jismein tujhse milne ka bhi ek mamool shamil tha... 
Tere khat aatay rehtay thay, 
toh mujhko yaad rehtay thay
teri aawaaz kay sur bhi, 
Teri awaaz ko kaaghaz pay rakh kay main nay 
chaaha tha keh pin ker loon, 
Woh jaisay titliyon kay per laga leta hai koyi 
apni album mein... 
Tera "bay" ko daba ker baat karna 
"Wau" per honthon ka chhalla gol ho ker ghoom jaata tha !
Buhat din ho gaye dekha nahin... 
na khat mila koii... 
Buhat din ho gaye...sachhi 
Teri awaaz ki bauchhaar mein bheega nahin hoon mein... 
Main kuchh kuchh bhoolta jaata hoon 
ab tujhko, 
Tera chehra bhi dhundhlaane laga hai 
ab takhayuul mein... 
Badalne lag gaya hai 
Ab woh subah-o-shaam ka mamool, 
Jismein tujhse milne ka bhi ek mamool shamil tha... 
(Gulzar)

barra kathin hai yeh hijr ka mausom

ajab sham kharri hai,kahin say aa jao
barri udas gharri hai,kahin say aa jao
kisi say milna aur mil kay bichhar jana
saza yeh itni barri hai,kahin say aa jao
barra kathin hai yeh hijr ka mausom
judai bol parri hai,kahin say aa jao
zamana jisay samajhta hai motiyon ki chamak
woh aansuon ki larri hai,kahin say aa jao!!!!!!

Tum nahi ho to esa lagta hay

Tum nahi ho to esa lagta hay,
jese ik umr ki musafat per,
baat kuch bhi samajh na ayi ho,
jese chup chup hon aarzu k shajar,
jese ruk ruk kay saans chalti ho,
jese be'naam ho dua ka safar,
jese qiston mein umr kat'ti ho,
jese ik khauf kay jazeeray mein,
koi awaaz day kar chhup jaye,
jese hanstay huye achanak hi,
gham ki puurwa say aankh bhar jaye,
Tum nahi ho to esa lagta hay!!!

Meri aankhon mein nami ka he, samaan rehta hay

Meri aankhon mein nami ka he, samaan rehta hay
Dill mein ik dard he muddat se, jawaan rehta hay

Wo jo kehta tha k bichrein gay, to mar jaein gay
ab ye ma'aloom nahi hay, wo kahaan rehta hay?

Aik us ko he meri chahat ki, zaroorat na rahi
Warna mera to talab gaar, jahaa'n rehta hay

Wo samajhta hay keh main bhool gaya hoon us ko
Khud se bhi zayada mujhay jiska, dhayan rehta hay

Yoon udasi meray ser pe musalsal hay Wasi
Jesay dil pe koi zakhmo'n ka, nisha'n rehta hay

Saqi ik nazar, jaam se pehlay pehlay


Saqi ik nazar, jaam se pehlay pehlay,
Mujh ko jana hay kaheen, sham se pehlay pehlay,

Khush ho ey dil keh muhabbat to nahi ki tu ne,
Log ujar jaty hain, anjam se pehlay pehlay,

Ab tere zikr pe ham baat badal detay hain,
Kitni ulfat thi tere naam se, pehlay pehlay,

Saamney umr pari hay shab-e-tanhai ki,
Wo mujhay chhor gaya, sham se pehlay pehlay,

Kitna acha tha, kabhi ham bhi jiya kertay thay?
Ghair Maroof se, gumnaam se, pehlay pehlay.

Wo mere Alfaaz se Heraan rehta tha...!

Wo mere Alfaaz se Heraan rehta tha...!
Mein us k Zouq se Preshan rehta tha...!
Be-wafaa to keh dia tha sar-e-aam us ne...!
Phir na jane kyun khud hi Preshan rehta tha...!
Suna tha Poocha tha kisi ne us say meray baaray mein...!
Kaha us ne keh"Han Dil mein aik Nadaan rehta tha...!
Hum kaise uski Ruswai kerain...!?
Jis pe Kabhi Hamara Emaan Rehta tha...!
WO MERE ALFAAZ SE HERAAN REHTA THA....!

baad muddatt unhein dekh kar yuunn lagaa

baad muddatt unhein dekh kar yuunn lagaa
jaise betaab dil ko qaraar aa gaya
aaaarzuuon ke gul muskuraane lage
jaise gulshan mein jaan-e-bahaar aa gayaa

tashnaa nazaren milii shokh nazaron se jab
maey barasane lagii jaam bharane lagaa
saaqiiyaa aaj terii zaruurat nahien
bin piye bin pilaaye KhUMAAR aa gayaa

raat sone lagii subah hone lagii
shammaa bujhane lagii dil machalane lage
vaqt kii raushanii mein nahaaii huii
zindagii pe ajab saa Nikhaar aa gayaa

har taraf mastiyaan har taraf dil kashii
muskuraate diloon mein Khushii hii Khushii
kitanaa chaahaa magar phir bhii uTh na sakaa
terii mahafil mein jo ek baar aa gayaa

Mujhay ik khaab ka taawan bharna hai

Suno logo !
Meri aankhain khareedo ge
Bohat majboor halaat mein mujhay neelaam karni hain
Koi mujh say naqd lay lay
Main thoray daam kar doon ga
Jo pehli boli day day ga
Usi ke naam kar doon ga
Mujhay bazaar waalay keh rahay hain kam aql taajir

Aray suno logo !
Nahin hoon main hirs ka khwahaan
Nafa nuqsaan ki shatranj nahin main khelnay aaya
Koi mujh ko kahay na manchala sa behunar taajir
Bata paaoon tumhain kesay
Kis tashweesh mein hoon main

Suno logo !
Bari mehboob tar hain mujh ko meri neem tar aankhain
Magar ab bechta hoon keh
Mujhay ik khaab ka taawan bharna hai

To phir meri zaroorat kaya ??

Tumhain jana zaroori hai
Chalo phir is tarah kar lo
Tum apney rastey ho lo
Nai manzil ko dhoondo tum
Nai dunya basao tum
Mujhey kuch dair rukna hai
Yahan kuch kaam karney hain
Yahan yaadain hain kuch meri
Wo kuch beetay huay lamhey
Wo aanchal sey girey they jo
Bikhar kar door tak
Mujhey paraishan kar rahey hain jo
Unhain ik jaah karna hai
Kaheen par dafan karna hai
Mohabbat ki qabar par eik naya katba lagana hai
Phir is key baad mujh ko laut jana hai
Ab itney kaam hain janaan
Tumhain jadi hai tum jao
Mujhey kuch waqt lagna hai
Yeh maah o saal hon shayad
Ya shayad hon kai sadiyaan
To phir kab tak yahaan baithi raho gi tum
Jo jana hai to phir is mein
Marawat ki zaroorat kaya ?
Mohabbat ab nahi tum ko
Takaluf ki zaroorat kaya ?
Naya Sathi jo dhoondna hai
To phir meri zaroorat kaya ??

Majboor-e-ana ho kar

Majboor-e-ana ho kar,
Paband-e-wafa ho kar,
Ham beth gaye aakhir,
raazi'ba'raza ho kar,
Jis rut mein wo bichra tha,
us rut kay ta'aqub mein,
Dil hay keh bhatakta hay,
raahon ki hawa ho kar,
is jism k zindaan mein,
ik umar se qaidi hain,
Ur jayein gay ham akhir,
ik roz reha ho kar,
ab tak mere angan mein,
phoolon ka basera hay,
guzray thay meray ghar se,
wo baad-e-saba ho kar,
is darja hawadis se,
khaaif hay meri hasti,
har lafz nikalta hay,
honton se dua ho kar.

Mujhe us say ab bhi Mihabbat hai...!

Mujhe us say ab bhi Mihabbat hai...!
Magar Na jane kyun...?
Ab us Mohabbat mein pehli si Shiddat nhi rahi...!
Mujhe ab bhi uska Intezar rehta hai...!
Magar najanay kyun...!
Ab us k intezaar mein Sitarron k sath...!
Haal-e-Dil kehne ki Adat nhi rahi...!
Mujhe ab bhi uski Yad aati hai...!
Magaar na jane kyun uski Yad mein...!
Ronay ki khawahish nhi rahi...!
Main us say ab Bhi Milna chaahti hun...!
Magar na jane kyun...!
Ab us say Milnay ki tarrap baki nhi rahi....!
Sochti hun....!
Kitna baddl gai hun mein....!
BILKUL US JAISI hi HO Gai Hun Mein...

safar malaal ka hai aur chal rahi hoon main

safar malaal ka hai aur chal rahi hoon main
ghubaar-e-shab ki udaasi mein Dhal rahi hoon main

ajeeb barf ki baarish badan pay utri hai
keh jis ki aag mein chup chaap jal rahi hoon main

phir ik chiraagh jala shaam ki haveli mein
phir eik dard say aakhir sanbhal rahi hoon main

yeh rakh rakhaao usay jaanun'nay naheen day ga!
keh apnay aap mein kesay pighal rahi hooN main

yeh ishq sach say juda kaisay ho gaya jaanaan?
ab is sawaal say baahir nikal rahi hoon main

bas eik ishq meri zaat par saheefa ho
mere khuda! yeh aqeeda badal rahi hoon mein ....

Ek Patthar Ko Yuun Khuda Kar k


Ek Patthar Ko Yuun Khuda Kar k
Kaya Milaa Aisa Tajarba Kar k

Dard Barhta Gaya Davaa Kar k
Lamha-Lamha, Zara-Zara Kar k

Ban Gayii Bad Dua Khushi Wohi
Jis Ko Maanga Kiye Dua Kar k

Zakhm Khaaye Barray-Barray Ham nay
Uss Sey Choti Si Ilteja Kar k

Zindagi Aazmaye …!Ji Bhar k
Hum Bhi Nikle Hain Hosla Kar k

Raaste Men Yaqin Mila Lekin
Wo Bhi Jaata Raha Dagha Kar k

Sirf Yaaden Hi Hum ne Paayi Hain
Bhool Jaane Ka Faisla Kar k .....

hum jo pohanchay sar-e-maktal to ye manzer dekha

hum jo pohanchay sar-e-maktal to ye manzer dekha
sab sey oncha tha jo sir nok-e-sinaan per dekha

hum sey mat poch keh kab chaand ubharta hay yahan
hum ne suraj b teray shehar main aa ker dekha

payas yaadon ko ab us morr per lay aai hai
rait chamki to ye samjhy k samandar dekha

itna be-his keh pigalta he na tha baataon se
Aadmi tha keh tarasha howa pathar dekha

dukh he aisa tha keh roya tera MOHSIN werna
gham chupa ker usay hanstay howay aksar dekha ....

wo khushbo bhaija karti thi maiN nazmaiN likhta rahta tha

wo khushbo bhaija karti thi maiN nazmaiN likhta rahta tha
wo hans k ujaa'la karti thi maiN subhaiN likhta rehta tha

geeli rai't pe sahil ki doobtey suraj k hum'raah
wo chup si chalti rahti thi maiN sochaiN likhta rehta tha

deep wafaa k hotey they ya shay'ed do taa'ray they
wo muj ko dekha karti thi maiN ankhaiN likhta rehta tha

tap'ti dhoop ka rang bhi to phoolooN sa ho jaa'ta tha
wo zulfaiN khola karti thi maiN shaa'maiN likhta rehta tha

toot kar aksar chaa'hat maiN rooth k yuunhi ulfat maiN
wo muj ko jeeta karti thi maiN maa'taiN likhta rehta tha

dono ki pehli chaa'hat thi dono toot k miltey thay
wo waaday karti rahti thi maiN qasmaiN likhta rehta tha

chunnd diN jab aa thehray they uski meri judaa'ee maiN
maiN us k haath maiN pehroN phir lakee'raiN likhta rehta tha

jaa'N say payaray say shikwa khud ko ruswa karna tha
maiN apnay hontoN pe chup ki bus muhraiN likhta rehta tha

dil ki hasrat aisi thi dil maiN jo reh jaa'ti thei
jo us se keh nahi paata tha wo bataiN likhta rehta tha

diN maiN dard ki shidat ko hans k maiN seh jaa'ta tha
par biN us k jo kat ti thein maiN raa'taiN likhta rehta tha ......

zehn ki jheel say yaadon ki dhanak phoot'ti hay

Chashm-e-be'khawab pay khawabon ka asar lagta hay,
kaisa pat'jhar hay keh shaakhon pay samar lagta hay,

Mohlat-e-Umr bas itni thi keh guzra hua waqt,
ek dhalkay huye aansu ka safar lagta hay,

kahin kuch aur bhi ho jaun na raiza raiza,
esa toota hun keh jurtay huye dar lagta hay,

zehn ki jheel say yaadon ki dhanak phoot'ti hay,
ek mela hay jo har shaam idhar lagta hay.

Humay acha nahi lagta tumharay baad December


Tumharay aur humaray ishq ki bunyaad December
Humay acha nahi lagta tumharay baad December

Koi apna zaroor uss ka khizan ki rutt mai bichra tha
Wo jis ki aakhri hichki mai thi faryaad December

Kabhi yeh dard k ansoo jo palkoN per hi jam jaayen
Tu dil mai siskiyaan leta hai ik barbaad December

Yeh day ga barf ki poshaak urryaa'n ker k pairro'n ko
Misaal e hijar karta hai sitam eejaad December

Bichar ker surkh phoolo'n ki ruttain weeran ker gaya
Wo jis k damm say hota tha kabhi aabaad December

Nahi mumkin keh tum ko yaad na aaye yeh bheegi sham
Tumhain barson rulaaye ga humaray baad December

Nahi maloom kya tum ko keh jab tum muskuraati ho
Tau janaan muskura deta ha yeh na'shaad December

Tamanna hai isi barfaab rutt mai dafan ho jaaun
Zamana bhool bhi jaaye karay ga yaad December

Gira kay berg pairro'n sey karay wah wah Faris jee
Merey shairo'n pey deta ha kuch aisay daad December ....


MUHABBAT


CHALO KEH JASHN E BAHARAAN DEKHAIN


CHALO KEH PHOOLON KAY SAATH KHELAIN


CHALO KEH KHAYYAM KI RUBAAI KA


KOI MISRA HE GUNGUNAAYEN


KEH IS ZAMEEN PAR


BA'JUZ MUHABBAT


KOI BHI JAZBA AMAR NHI HAI


MAGAR "KISI" KO KHABAR NHI HAI....

sakoot-e-sham mein goonji sada udasi ki


sakoot-e-sham mein goonji sada udasi ki
keh hay mazeed udasi dawa udasi ki

***
amoor-e-dil mein kisi teesray ka dakhal nahi
yahan faqat teri chalti hay ya udasi ki

***
bohat shareer tha main aur hansta phirta tha
phir ek faqeer nay de di dua udasi ki

***
chiragh-e-dil ko zara ehtiyat say rakhna
keh aaj raat chalay gi hawa udasi ki

***
bohat dinon say mulaqat hi nahi MOHSIN
kahein say khair khabar lay k aa udasi ki...!!!

Muhabbat aik barish hay


Muhabbat Dasht-e-Furqat main
Bina rakht-e-Safer Chaltay
Kisi Majzoob K dil Say Nikalta aik Noha hay
Muhabbat Raston K Jaal main Bhatakta hua Rahi
Kisi K baam per Thehra hua ik Ajnabi Chehra
Muhabbat Khuwab ban jay to tabeerain nahin milteen
Muhabbat aik barish hay
Jo ik bond K tun say munn main Jab uterti hay
Sureelay saaz bajtay hain, anokhay baab khultay hain
Muhabbat Jaltay taptay raston per phailta saaya
Muhabbat mausamon Ko husan Ka paygham deti hay

Mujhay zaat kay ista’aron main rakhna

Mujhay apnay lafzon ki khusbo’on main rakhna 
Mujhay zaat kay ista’aron main rakhna 
Mujhay apnay aangan main jhuktay huay chand taaron main rakhna 
Meray chund khat hain jinhain main nay 
Apnay lahoo ki sadaqat say likha tha tum ko 
Meray chund lamhay hain jin main 
Sada’on ki pakeezgi say pukara tha tum ko 
Meray chund lehjay hain jin main 
Tumhari hi tarz-e-takhatub ka rang aa chala tha 
Meray chund jumlay hain jin ki 
Sama’at liye ab tumhain ik muddat hui 
Meri kuch pasandeedah batain bhi hain 
Jin ko hasil tumhari pasandeedgi thi 
Meri kuch kitabain hain 
Jo tum nay shaid yunhi mang li theen 
Mera ik mazi hai 
Jis ko tumhari rafaqat nay mazi ka mafhoom bakhsha 
Mera ik aaindah tha Jis kay aaina khanon mai 
Aks aashna thay tumharay tarasheeda abroo, hijr si jabeen aur khaabon si aankhain 
Meri chund khushiyan theen jin pay tumhari 
Qaamat ka saya-e-afreen tha 
Woh aik phool jis ko kabhi tum nay 
Saaray phoolon say chun ker rakh liya tha 
Unhain, aur kuch aur baaton ko bhi 
Apni yaadon main rakhna 
Unhain guftogoo kay kinaron main rakhna 
Ishaaron main rakhna 
Unhain zaat kay ista’aron main rakna

Agar woh badshah hota

Agar woh badshah hota
to koi baat bhi hoti
suna hay badshahon ko agar dain aisa nazrana
jo sab cheezon se barh kar ho
to apni badshahi tak luta detey hain woh aksar

MOhabat hay Hamarey paas..
Magar woh Badshah kab hay???

is Shart Pe Kheloon Gi Piya Pyar Ki Bazi

is Shart Pe Kheloon Gi Piya Pyar Ki Bazi,
jeetoon to tujhe paaoon haaroon to piya teri,

her lehza khayal tera rakhoon gi sirf itna,
baith jaaoon to b teri uth jaaoon to b teri,

kuch kar loun gi haal apna aisa main humsafar,
aankh lagey to b teri ankh khuley to b teri,

teri har aahat pe paaloon gi tabeer aisi,
hans jaaoon to b teri rooth jaaoon to b teri,

main sath tera kuch aise doun gi jaan-e-jahaan,
zinda hoon to b teri mar jaoaon to b teri..

Dareechay say jhankti woh larki ajeeb dukh say bhari hui hai

Dareechay say jhankti woh larki ajeeb dukh say bhari hui hai
keh us kay aangan main phool per aik neeli titli mari hui hai

kabhi azaanon main khoi khoi, kabhi namazon main royi royi
woh aesay dunya ko dekhti hai keh jaisay us say darri hui hai

Drood say mehki mehki saansain,wazeefay parhti hui wo aankhein
aik shama ey umeed keh un main, kai baras say dhari hui hai

woh dukh ki chaadar main lipti lipti,woh kaalay kapron main simti simti
muhabbat wo bhi kisi say shayad , meri tarah hi kari hui hai

barray zamanoon kay baad barsi hain meri aankhein kisi ki khatir
barray zamanoon k baad dil ki zameen phir say hari hui hai........

thak gaye hont tera naam bhi lete lete

Dasht-e-darya ye us paar kahan tak jati?
ghar ki deewar thi, deewar kahan tak jati?

mit gayi hasrat-e-dedar bhi rafta rafta,
Hijr mein hasrat-e-deedar kahan tak jati?

thak gaye hont tera naam bhi lete lete,
ek hi lafz ki takraar kahan tak jati?

tu bohat door, bohat door gaya tha mujh se,
meri awaz meray yaar kahan tak jati?

har taraf husn k bazaar lagay thay Mohsin,
ye meri chashm-e-kharidaar kahan tak jati?

Hamne is ishq meN kya khoyaa hai kyaa siikhaa hai


Ham pe mushtarik haiN ehsaan Gham-e-ulfat k
Itnay ehsaan keh ginvaauuN to ginvaa na sakuuN

Hamne is ishq meN kya khoyaa hai kyaa siikhaa hai
Juz tere aur ko samjhaauN to samjhaa na sakuN

Tujh ko ma’aluum hai kyoN umr ganvaa dii ham nay

Tuu nay dekhii hai voh peshaani, voh rukhsaar, voh hont
Zindgi jin kay tasavvur meN luTaa di ham nay


Tujh pay uThi haiN voh kho’ii Hu’ii saahir aankheN
Tujh ko ma’aluum hai kyoN umr ganvaa dii ham nay

Muhabbat rog hoti hai kaha bhi tha


Muhabbat rog hoti hai kaha bhi tha
rula ker khud bhi roti hai kaha bhi tha

kinaarey k qareeb lay jaa ker
ye kashti ko daboti hai kaha bhi tha

isay tum dil ki dharti ka pata mat do
ye is mein dard boti hai kaha bhi tha

muhabbat mein khushi k baad gham ki rut
bohat nazdeek hoti hai kaha bhi tha

luta ker dil ko roney sey bhi kya haasil
bohat naa'yaab moti hai kaha bhi tha

azal sey is ki fitrat hai zamaaney ko
jaga ker khud yeh soti hai kaha bhi tha

yeh ser sey paa'on tak bus raakh ker dey gi
bohat bey dard hoti hai kaha bhi tha

Wednesday, 28 September 2011

'Muhabat ek barish hay'

Kabhi barish barasti hay,
to mujh ko yad aata hay,
Wo aksar mujh se kehta tha;
'Muhabat ek barish hay'
Sab pe jo barasti hay,
magar phir bhi nahin hoti,
sab k wastay yaksan,
kisi k wastay rehmat,
kisi k wastay zehmat,
Mein aksar sochti hun ab,
Wo mujh se thek kehta tha,
'Mohabat ek barish hay'
Sab pe jo barasti hay,
kabhi mujh pe bhi barsi thi,
magar mere liay barish,
kabhi na ban saki raahat,
Yeh raahat kyun nahi banti?
kabhi jo mein khud se poochoon to!
Ye dil deta duhai hay;
'Kabhi kachay makaanon ko bhi barish raas aai hay?

Muhabbat Maar Deti Hai..

Suno!!
Kisi Nay Such Kaha Tha Yeh,
Muhabbat Mar Nahi Sakti
Magar Adhora Such Suna Hum Ne,
Mukamal Such To Yeh Hai Keh,
Muhabbat Khud Nahi Marti, Muhabbat Maar Deti Hai..

Mohabbat aik katba hay

Mohabat shayari her giz nahi hay

Theek kehtey hain
Mohabbat to kisi bay deep qabrastan ki
Boseeda si ik qaber per woh nassb katba hay
Keh jiss per saaf likha ho
Shaheed-e-raah-e-ulfat
Ashiq-e-nakam ka marqad

Mohabbat aik katba hay

Laga hota hay jo aksar
Kabhi laila kay marqad per
Kabhi majnoo ki hasrat per
Kabhi sohni kay matkay per
Kabhi ranjhay kay teeron per

Mohabbat aik katba hay
Kay jis per saaf likha ho .

Mohabbat maut ki aghoosh may sir rakh kay sona hay
Mohabbat dil pay lahaq roag hay
Taa umer rona hay
Mohabbat raat bhar ka jagna
Aur jaan khona hay

Mohabat arzoo-o- hasrat-o-arman-o-kuwahish ki
Kisi maydaan may rakhee hui aik aysee mayyat hai
Keh jis ko kandha dayney kay liye
Koi nahi aata
Mager phir bhi
Laboon per her kisi insane kay rakha hay ye jumla

MUJHEY TUM SEY MUHABBAT HEY

Koi mujh say ager keh day
Mujhey tum say mohabbat hai
To dar jata hon main bayhad
Yeh dil main wehem aata hay

Keh yeh izhar ka jumla
Mohabat ka yeh ik katba

Phir kisi bay deep qabrastan ki
Boseeda si ik Qaber ki
Zeenat na ban jaey
Mohabbat ka yah katba
Phir naee aafat na ban jaye
Wohee katba
Keh jiss per saaf likha ho

Shaheed-e- raah-e-ulfat
Ashiq-e-nakaam ka marqad
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets