Saturday 17 September 2011

Kis raat ki aankhon main paiman-e-sahar ho ga


Kis raat ki aankhon main paiman-e-sahar ho ga
Yeh khwaab jo konpal hai, kis rutt main shajar ho ga
Aanchal ki hawa rakhna, lau iss ki bacha rakhna
Yay shama jidhar ho gi, parwana udhar ho ga
Jab raat kay parday say phir raat nikal aaey
Uss waqt kidhar jaaey, jo ehhl-e-nazar ho ga
Tareekh kay chakar main wo morr nahi aata
Jab shaad makeen hon gay, aabaad nagar ho ga
Bujhtay huay taroon ki jhilmil bhi ghaneemat hai
Iss thehri hui shab main, kuch wehm-e-safar ho ga
Afkaar pay pehra hai, qanoon yay tehra hai
Jo sahib-e-izzat hai wo shehr badar ho ga
Mehsoos yeh hota hai, har jalta hua tara
Guzray huay waqton main ik zakhm-e-safar ho ga
Sehmay huay panchi ki awaaz batati hai
Uss ka bhi yaheen koi, jalta hua ghar ho ga

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets