Tuesday 8 November 2011

Teri wafa teri hurmat pey harf aata hai




Teri wafa teri hurmat pey harf aata hai
Jo such kahu’n to muhabbat pey harf aata hai

Khud apney husn sey tu badguman’n na ho jana’n
You’n aainey ki sadaqat pey harf aata hai

Bus aik khwab tha shaaid tumhara milna bhi
Yaqi’n karu’n to haqiqat pey harf aata hai

Bikhar na paey jo khushbu hi us k paikar sey
To phir you’n phool ki fitrat pey harf aata hai

Main apney dil ko banau’n khushi ka maskan kyu’n
Tumharey ghum ki alamat pey harf aata hai

yeh apney khwab zamaney ki ankh mein rakh du’n
Magar kisi ki amanat pey harf aata hai

Sitamgaro’n ko lahoo apna bakhsh dey shahi
Wagarna rasm-e-sakhawat pey harf ata hai

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets