aaj baad muddat k
mein nay uss ko dekha hai
woh zaraa nahin badli
ab bhi apni aankhon men
so sawaal rakhti hai
chhoti chhoti baaton pey
ab bhi khul k hansti hai
ab bhi uss k lehjay men
wohi khan'khanahat hai
woh zara nahin badli
ab bhi uss ki palkon k
saaye geelay rehtay hain
ab bhi uss ki sochon men
mera naam rehta hai
ab bhi meri khaatir woh
uss tarha hi paagal hai
woh zara nahin badli
aaj baad muddat k
mein nay uss ko dekha hai
to mujhay bhi lagta hai
mein bhi uss ki chaahat men
uss terha hi paagal hoon
baad itni muddat k
or kuch nahin badla
juz hamaray raston k
or kuch nahin badla
No comments:
Post a Comment